urdu
kitnī pyārī zabān hai urdu
mere bhārat kī shaan hai urdu
mulk meñ an-ginat haiñ bhāshā.eñ
sab zabānoñ kī jaan hai urdu
is meñ vus.at hai is meñ gahrā.ī
kitnā ūñchā maqām urdu kā
saarī duniyā ke lafz haiñ is meñ
jaise lashkar hai naam urdu kā
is ko paalā amiir ḳhusrav ne
is ne bhārat meñ aañkh kholī hai
merī urdu nahīñ hai bāhar kī
ye bhī bhārat kī ek bolī hai
ik valī ne ise sañbhālā hai
hai dakkan pāsbān urdu kā
is ke markaz the lucknow dehlī
ab hai saarā jahān urdu kā
mīr-o-ġhālib hue haiñ urdu ke
aur nasīm-o-firāq shaidā.ī
zauq-o-momin ne bhī sañvārā hai
saarī qaumoñ ne kī pazīrā.ī
'saudā' 'nāsiḳh' 'amīr' aur 'inshā'
'ārzū' 'dard' 'fānī' aur 'jalīl'
'yās' 'majrūh' aur alī 'sardār'
'dānish' aḳhtar adam hafīz-o-shakīl
daaġh iqbāl aur jigar hasrat
josh sīmāb kaifī aur majāz
ḳhuub shā.ir hue haiñ urdu ke
faiz sāhir qatīl aur farāz
is ko maz.hab se vāsta hī nahīñ
jis ne chāhā usī kī kahlā.ī
giit gaa.e haiñ is ke aashā ne
aur jagjīt ne ġhazal gaa.ī
kuchh kitābeñ ḳharīd urdu kī
apne bachchoñ ko bhī paḌhāo tum
un kī ta.alīm kā ḳhayāl rakho
un ko tahzīb bhī sikhāo tum
anjum bhī jānte haiñ ki pyārī zabān hai
urdu hai jis kā naam hamārī zabān hai
kitni pyari zaban hai urdu
mere bhaarat ki shan hai urdu
mulk mein an-ginat hain bhashaen
sab zabanon ki jaan hai urdu
is mein wusat hai is mein gahrai
kitna uncha maqam urdu ka
sari duniya ke lafz hain is mein
jaise lashkar hai nam urdu ka
is ko pala amir KHusraw ne
is ne bhaarat mein aankh kholi hai
meri urdu nahin hai bahar ki
ye bhi bhaarat ki ek boli hai
ek wali ne ise sanbhaala hai
hai dakkan pasban urdu ka
is ke markaz the lucknow dehli
ab hai sara jahan urdu ka
mir-o-ghaalib hue hain urdu ke
aur nasim-o-firaq shaidai
zauq-o-momin ne bhi sanwara hai
sari qaumon ne ki pazirai
'sauda' 'nasiKH' 'amir' aur 'insha'
'arzu' 'dard' 'fani' aur 'jalil'
'yas' 'majruh' aur ali 'sardar'
'danish' aKHtar adam hafiz-o-shakil
dagh iqbaal aur jigar hasrat
josh simab kaifi aur majaz
KHub shair hue hain urdu ke
faiz sahir qatil aur faraaz
is ko mazhab se wasta hi nahin
jis ne chaha usi ki kahlai
git gae hain is ke aasha ne
aur jagjit ne ghazal gai
kuchh kitaben KHarid urdu ki
apne bachchon ko bhi paDhao tum
un ki talim ka KHayal rakho
un ko tahzib bhi sikhao tum
anjum bhi jaante hain ki pyari zaban hai
urdu hai jis ka nam hamari zaban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.