urdu nazm
dil-e-ḳhavās hai rūh-e-avām hai urdu
zabāñ nahīñ hai mukammal nizām hai urdu
har ik maqām hai dār-ul-ḳhilāfa-e-urdu
aur is pe lutf ye hai be-maqām hai urdu
kamāl-e-husn-o-fasāhat jamāl-e-nutq-o-bayāñ
ye muqtadī haiñ aur in kī imaam hai urdu
ġhazal-sarā hai zamāna hayāt naġhma-kunāñ
vazīfa-e-sahar-o-roz-o-shām hai urdu
hamāre shams-o-qamar is se nuur paate haiñ
sahar kī jot tajallī-e-shām hai urdu
'nadīm' chāñd pe bhī ḳhaak paḌ sakī hai kabhī
sipahr-e-asr pe maah tamām hai urdu
hai talḳh-kāmī-e-dushman meñ bhī isī kā surūr
koī batāo ki kis jā harām hai urdu
dil-e-KHawas hai ruh-e-awam hai urdu
zaban nahin hai mukammal nizam hai urdu
har ek maqam hai dar-ul-KHilafa-e-urdu
aur is pe lutf ye hai be-maqam hai urdu
kamal-e-husn-o-fasahat jamal-e-nutq-o-bayan
ye muqtadi hain aur in ki imam hai urdu
ghazal-sara hai zamana hayat naghma-kunan
wazifa-e-sahar-o-roz-o-sham hai urdu
hamare shams-o-qamar is se nur pate hain
sahar ki jot tajalli-e-sham hai urdu
'nadim' chand pe bhi KHak paD saki hai kabhi
sipahr-e-asr pe mah tamam hai urdu
hai talKH-kaami-e-dushman mein bhi isi ka surur
koi batao ki kis ja haram hai urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.