urdu
kaash urdu hī meñ ho saare dafātir kā hisāb
kaash taqrīreñ kareñ urdu meñ sab izzat-ma.āb
kab talak rakhiyegā añgrezī meñ ta.alīmī nisāb
qaum ke bachchoñ ke haq meñ ye hai ik zehnī azaab
kab talak ye kah ke qismat se raheñ ham shikva-sanj
''rañj kā ḳhūgar huā insāñ to miT jaatā hai rañj''
ġhaur kiije kaise is ta.alīm ne paayā rivāj
kis liye haamī the is ke sāhibān-e-taḳht-o-tāj
kaun sī dushvāriyāñ thiiñ jin kā sochā ye ilaaj
thī clerkoñ kī hukūmat ko nihāyat ehtiyāj
dars-gāheñ thiiñ pa añgrezī paḌhe baabū na the
daftarī gaaḌī chalāne ke liye yaabū na the
raushnī afrañg se is mulk meñ aa.ī na thī
zauq-e-ḳhidmat ne rag-o-pai meñ jagah paa.ī na thī
peT bharne ke liye ye nāsiya-sā.ī na thī
aur abhī tasvīr-e-jānāñ ham ne banvā.ī na thī
ya.anī B-A kī sanad sad.hā sifārish kī nuqūl
arziyoñ ke saath daftar meñ na hotī thiiñ qubūl
ab ye hālat hai ki roTī ek aur bhūke hazār
baiTh kar parde ke pīchhe khīñch saktā hai jo taar
vo to ho jaatā hai muñh meñ le ke roTī ko farār
bāqī-māñda phir vahī umīd-vār umīd-vār
aap is hālat meñ is ta.alīm ko de kar rivāj
muflisī kā kar rahe haiñ homeopathic ilaaj
kash urdu hi mein ho sare dafatir ka hisab
kash taqriren karen urdu mein sab izzat-maab
kab talak rakhiyega angrezi mein talimi nisab
qaum ke bachchon ke haq mein ye hai ek zehni azab
kab talak ye kah ke qismat se rahen hum shikwa-sanj
ranj ka KHugar hua insan to miT jata hai ranj
ghaur kije kaise is talim ne paya riwaj
kis liye hami the is ke sahiban-e-taKHt-o-taj
kaun si dushwariyan thin jin ka socha ye ilaj
thi clerkon ki hukumat ko nihayat ehtiyaj
dars-gahen thin pa angrezi paDhe babu na the
daftari gaDi chalane ke liye yabu na the
raushni afrang se is mulk mein aai na thi
zauq-e-KHidmat ne rag-o-pai mein jagah pai na thi
peT bharne ke liye ye nasiya-sai na thi
aur abhi taswir-e-jaanan hum ne banwai na thi
yani B-A ki sanad sadha sifarish ki nuqul
arziyon ke sath daftar mein na hoti thin qubul
ab ye haalat hai ki roTi ek aur bhuke hazar
baiTh kar parde ke pichhe khinch sakta hai jo tar
wo to ho jata hai munh mein le ke roTi ko farar
baqi-manda phir wahi umid-war umid-war
aap is haalat mein is talim ko de kar riwaj
muflisi ka kar rahe hain homeopathic ilaj
- Book : Shokhi-e-Tahrir (Pg. 134)
- Author : Sayed Mohammad Jafri
- Publication : Malik Norani, Maktaba Daniyal Viktoria Chaimber, 20, Abdullah Haroon Road, Sadar Krachi (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.