urdu
ye pyārī urdu ki jis kā nahīñ hai koī badal
hasīn aisī hai jaise jamāl-e-tāj-mahal
har ek des-nivāsī ne paa.ī ye mīrās
vo raam ho ki karam singh ho yā ki mīr-ġhiyās
hai masjidoñ meñ muqaddas pavitra mandir meñ
har ik galī meñ chalan aur guzar hai har ghar meñ
vo jo ki bolte haiñ bhāñt bhāñt kī bolī
to suniye un se bhī urdu jam.a ho jab Tolī
kahīñ bhī jā.iye urdu zarūr pā.eñge
samajhne bolne vaale to mil hī jā.eñge
adab meñ sher meñ ūñchā maqām hai is kā
samāj ke sabhī shoboñ meñ naam hai is kā
zavāl is ko kabhī aa.e ġhair mumkin hai
diloñ se mahv ye ho jaa.e ġhair mumkin hai
hai is ke nuur se raushan samāj kī duniyā
isī ke dam se hai ābād raaj kī duniyā
rahegā qā.em-o-dā.em mudām duniyā meñ
chalegā sikka-e-urdu tamām duniyā meñ
jo zinda rahne ko aa.e vo kaise ho barbād
'asad' lagāo ye na.ara ki urdu zindabād
ye pyari urdu ki jis ka nahin hai koi badal
hasin aisi hai jaise jamal-e-taj-mahal
har ek des-niwasi ne pai ye miras
wo ram ho ki karam singh ho ya ki mir-ghiyas
hai masjidon mein muqaddas pawitra mandir mein
har ek gali mein chalan aur guzar hai har ghar mein
wo jo ki bolte hain bhant bhant ki boli
to suniye un se bhi urdu jama ho jab Toli
kahin bhi jaiye urdu zarur paenge
samajhne bolne wale to mil hi jaenge
adab mein sher mein uncha maqam hai is ka
samaj ke sabhi shobon mein nam hai is ka
zawal is ko kabhi aae ghair mumkin hai
dilon se mahw ye ho jae ghair mumkin hai
hai is ke nur se raushan samaj ki duniya
isi ke dam se hai aabaad raj ki duniya
rahega qaem-o-daem mudam duniya mein
chalega sikka-e-urdu tamam duniya mein
jo zinda rahne ko aae wo kaise ho barbaad
'asad' lagao ye nara ki urdu zindabaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.