urdu zaban
kitnī mīThī zabāñ kaisī pyārī zabāñ
merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ
is meñ rādhā ke paa.el kī jhankār hai
zulf-e-zeb-un-nisā kī bhī mahkār hai
is meñ jhāñsī kī raanī kī lalkār hai
sāz-o-naġhma ke ham-rāh talvār hai
us ke dāman meñ haiñ kitnī rangīniyāñ
merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ
hind maatā kī beTī hai urdu zabāñ
sāñvlī chulbulī naujavāñ gul-fishāñ
hindū muslim ke iḳhlās kī dāstāñ
ittihād-o-mohabbat kā qaumī nishāñ
kyoñ ise ġhair kahtā hai nā-qadr-dāñ
merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ
is meñ sarmastī-e-jām-e-shīrāz hai
najd kā soz hai hind kā saaz hai
apnī har-dil-azīzī meñ mumtāz hai
ahl-e-hindostāñ kī ye āvāz hai
is ko kahte haiñ sab dil-kash-o-ḳhush-bayāñ
merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ
bolī jaatī hai kashmīr se raas tak
samjhī jaatī hai gujrāt madras tak
ġhairiyat kī nahīñ is meñ bū-bās tak
nafratoñ kā nahīñ is ko ehsās tak
ḳhaas hindostānī hai urdu zabāñ
merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ
kah rahī hai ye bhārat se urdu zabāñ
mujh se nārāz kyoñ mādar-e-mehrbāñ
tū mirī maiñ tirī hamdam-o-rāz-dāñ
phir lagā le gale se mujhe merī maañ
'tāhira' kuchh pareshāñ hai urdu zabāñ
merī urdu zabāñ faḳhr-e-hindostāñ
kitni miThi zaban kaisi pyari zaban
meri urdu zaban faKHr-e-hindostan
is mein radha ke pael ki jhankar hai
zulf-e-zeb-un-nisa ki bhi mahkar hai
is mein jhansi ki rani ki lalkar hai
saz-o-naghma ke ham-rah talwar hai
us ke daman mein hain kitni ranginiyan
meri urdu zaban faKHr-e-hindostan
hind mata ki beTi hai urdu zaban
sanwli chulbuli naujawan gul-fishan
hindu muslim ke iKHlas ki dastan
ittihad-o-mohabbat ka qaumi nishan
kyon ise ghair kahta hai na-qadr-dan
meri urdu zaban faKHr-e-hindostan
is mein sarmasti-e-jam-e-shiraaz hai
najd ka soz hai hind ka saz hai
apni har-dil-azizi mein mumtaz hai
ahl-e-hindostan ki ye aawaz hai
is ko kahte hain sab dil-kash-o-KHush-bayan
meri urdu zaban faKHr-e-hindostan
boli jati hai kashmir se ras tak
samjhi jati hai gujraat madras tak
ghairiyat ki nahin is mein bu-bas tak
nafraton ka nahin is ko ehsas tak
KHas hindostani hai urdu zaban
meri urdu zaban faKHr-e-hindostan
kah rahi hai ye bhaarat se urdu zaban
mujh se naraaz kyon madar-e-mehrban
tu meri main teri hamdam-o-raaz-dan
phir laga le gale se mujhe meri man
'tahira' kuchh pareshan hai urdu zaban
meri urdu zaban faKHr-e-hindostan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.