Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu zaban

Mauj Fatehgarhi

urdu zaban

Mauj Fatehgarhi

MORE BYMauj Fatehgarhi

    nutq e.ajāz hai urdu zabāñ

    vaqt āvāz hai urdu zabāñ

    jis meñ sur haiñ muḳhtalif bhāshāoñ ke

    vo anokhā saaz hai urdu zabāñ

    ye zabāñ ke saath hai tahzīb bhī

    qābil-e-sad-nāz hai urdu zabāñ

    mā.il-e-parvāz hai is adab

    manzil-e-parvāz hai urdu zabāñ

    qaumī yak-jehtī se jo paidā huī

    vo hasīñ āġhāz hai urdu zabāñ

    giitā aur qur.āñ tafsīreñ liye

    maz.haboñ raaz hai urdu zabān

    hindū muslim sikh īsā.ī koī ho

    sab dam-sāz hai urdu zabāñ

    is dushman dushman-e-amn-o-amāñ

    prem andāz hai urdu zabāñ

    sab zabānoñ par chaḌhī hai 'mauj' ye

    is liye mumtāz hai urdu zabāñ

    nutq ka eajaz hai urdu zaban

    waqt ki aawaz hai urdu zaban

    jis mein sur hain muKHtalif bhashaon ke

    wo anokha saz hai urdu zaban

    ye zaban ke sath hai tahzib bhi

    qabil-e-sad-naz hai urdu zaban

    mail-e-parwaz hai is ka adab

    manzil-e-parwaz hai urdu zaban

    qaumi yak-jehti se jo paida hui

    wo hasin aaghaz hai urdu zaban

    gita aur quran ki tafsiren liye

    mazhabon ka raaz hai urdu zaban

    hindu muslim sikh isai koi ho

    sab ki hi dam-saz hai urdu zaban

    is ka dushman dushman-e-amn-o-aman

    prem ka andaz hai urdu zaban

    sab zabanon par chaDhi hai 'mauj' ye

    is liye mumtaz hai urdu zaban

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now