urdu zaban
saarī zabāñ se pyārī
urdu zabāñ hamārī
phūloñ kī anjuman sī
tāroñ bhare gagan sī
bajte sitār jaisī
hai ābshār jaisī
alfāz meñ ravānī
dariyā kā jaise paanī
ḳhushbū kī kaan hai ye
mīThī zabān hai ye
koyal jo kūktī hai
urdu hī boltī hai
haiñ harf harf aise
titlī ke rang jaise
karte haiñ log jaadū
jab bolte haiñ urdu
sab kī samā.atoñ par
jhaḌtī hai phuul ban kar
saarī zabāñ se pyārī
urdu zabāñ hamārī
sari zaban se pyari
urdu zaban hamari
phulon ki anjuman si
taron bhare gagan si
bajte sitar jaisi
hai aabshaar jaisi
alfaz mein rawani
dariya ka jaise pani
KHushbu ki kan hai ye
miThi zaban hai ye
koyal jo kukti hai
urdu hi bolti hai
hain harf harf aise
titli ke rang jaise
karte hain log jadu
jab bolte hain urdu
sab ki samaaton par
jhaDti hai phul ban kar
sari zaban se pyari
urdu zaban hamari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.