urdu
zau-fishāñ tū rahe ai sham.a-e-zabān-e-urdu
terā har zarra chamak kar mah-e-kāmil ho jaa.e
bol-bālā ho tirā mulk ke har goshe meñ
terī lau zeb-dah-e-anjuman-e-dil ho jaa.e
terī har satr bane zulf-e-hasīnān-e-jahāñ
ik zamāna tirā pāband-e-salāsil ho jaa.e
jaan de husn-e-fasāhat pe masīhā-nafasī
sāmrī bhī tire e.ajāz kā qaa.il ho jaa.e
tere har lafz meñ ho dard-e-mohabbat kī taḌap
har suḳhan sharh-e-bayān-e-ḳhalish-e-dil ho jaa.e
ho gayā meñ tire parvānoñ kā har saal hujūm
roz-afzūñ tirā hangāma-e-mahfil ho jaa.e
ho kuchh is tarah gul-afshānī-e-arbāb-e-suḳhan
jis se pāmālī-e-gulbāñg-e-anādil ho jaa.e
mai-e-gul-rang-e-shafaq se rahe rangīñ tirā jaam
terī har bazm-e-adab mai-kada-e-dil ho jaa.e
hazrat-e-nūh kā uThtā rahe tūfāñ yūñhī
ġharq-e-sailāb-e-suḳhan dāman-e-sāhil ho jaa.e
har nau-āmoz sila paa.e tirī ḳhidmat kā
har mah-e-nau tire sadqe mah-e-kāmil ho jaa.e
zahe taqdīr zahe baḳht ki nāchīz 'sarīr'
tire ḳhuddām kī fihrist meñ shāmil ho jaa.e
zau-fishan tu rahe ai shama-e-zaban-e-urdu
tera har zarra chamak kar mah-e-kaamil ho jae
bol-baala ho tera mulk ke har goshe mein
teri lau zeb-dah-e-anjuman-e-dil ho jae
teri har satr bane zulf-e-hasinan-e-jahan
ek zamana tera paband-e-salasil ho jae
jaan de husn-e-fasahat pe masiha-nafasi
samri bhi tere eajaz ka qail ho jae
tere har lafz mein ho dard-e-mohabbat ki taDap
har suKHan sharh-e-bayan-e-KHalish-e-dil ho jae
ho gaya mein tere parwanon ka har sal hujum
roz-afzun tera hangama-e-mahfil ho jae
ho kuchh is tarah gul-afshani-e-arbab-e-suKHan
jis se pamali-e-gulbang-e-anadil ho jae
mai-e-gul-rang-e-shafaq se rahe rangin tera jam
teri har bazm-e-adab mai-kada-e-dil ho jae
hazrat-e-nuh ka uThta rahe tufan yunhi
gharq-e-sailab-e-suKHan daman-e-sahil ho jae
har nau-amoz sila pae teri KHidmat ka
har mah-e-nau tere sadqe mah-e-kaamil ho jae
zahe taqdir zahe baKHt ki nachiz 'sarir'
tere KHuddam ki fihrist mein shamil ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.