urdu
zindagī bhes badal kar jahāñ fan bantī hai
'mīr'-o-'ġhālib' kā vo andāz-e-bayāñ hai urdu
kabhī kartī hai sitāroñ se bhī aage manzil
chashm-e-iqbāl se goyā nigarāñ hai urdu
saath inshā ke kabhī hañstī hai dil khol ke vo
bahr-e-fānī kabhī masrūf fuġhāñ hai urdu
hāsil-e-bazm hai aur bazm ko taḌpātī hai
jān-e-mai-ḳhāna hai maiḳhāna-e-jāñ hai urdu
gaah parvāne kī mayyat pe khaḌī miltī hai
sūrat-e-sham.a jahāñ girya-kunāñ hai urdu
gaah ḳhushiyoñ ke chaman-zār meñ jā bastī hai
mausam-e-gul kī jahāñ rūh-e-ravāñ hai urdu
mahv-e-gul-gasht jahāñ hūr-e-bahishtī mil jaa.e
qābil-e-rashk vo gulzār-e-jināñ hai urdu
har ġhazal kūcha-e-jānāñ se ziyāda pyārī
har nazar sher hai tasvīr-e-butān-e-urdu
har na.ī nazm na.e moḌ pe le jaatī hai
rūh-e-imroz hai fardā kā nishāñ hai urdu
dhul ga.ī kausar-o-tasnīm ke paanī se magar
jannat-e-arz kī mazlūm zabāñ hai urdu
bāġhbāñ mujh ko ijāzat ho to ik baat kahūñ
naġhma bulbul kā hai phūloñ kī zabāñ hai urdu
milte haiñ is se hazāroñ hameñ tahzīb ke daras
is qadar zehn pe kyuuñ tere garāñ hai urdu
ab bhī chhā jaatī hai har ruuh pe mastī ban kar
is ḳharābī meñ bhī afsūn-e-javāñ hai urdu
zindagi bhes badal kar jahan fan banti hai
'mir'-o-'ghaalib' ka wo andaz-e-bayan hai urdu
kabhi karti hai sitaron se bhi aage manzil
chashm-e-iqbaal se goya nigaran hai urdu
sath insha ke kabhi hansti hai dil khol ke wo
bahr-e-fani kabhi masruf fughan hai urdu
hasil-e-bazm hai aur bazm ko taDpati hai
jaan-e-mai-KHana hai maiKHana-e-jaan hai urdu
gah parwane ki mayyat pe khaDi milti hai
surat-e-shama jahan girya-kunan hai urdu
gah KHushiyon ke chaman-zar mein ja basti hai
mausam-e-gul ki jahan ruh-e-rawan hai urdu
mahw-e-gul-gasht jahan hur-e-bahishti mil jae
qabil-e-rashk wo gulzar-e-jinan hai urdu
har ghazal kucha-e-jaanan se ziyaada pyari
har nazar sher hai taswir-e-butan-e-urdu
har nai nazm nae moD pe le jati hai
ruh-e-imroz hai farda ka nishan hai urdu
dhul gai kausar-o-tasnim ke pani se magar
jannat-e-arz ki mazlum zaban hai urdu
baghban mujh ko ijazat ho to ek baat kahun
naghma bulbul ka hai phulon ki zaban hai urdu
milte hain is se hazaron hamein tahzib ke daras
is qadar zehn pe kyun tere garan hai urdu
ab bhi chha jati hai har ruh pe masti ban kar
is KHarabi mein bhi afsun-e-jawan hai urdu
- Book : Lahoo Ke Charagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.