urus-ul-bilad
ek jazīra zamīñ ke siine par
hai jo ābād raushnī se hai
jis kī saḌkoñ pe raat der talak
zindagī dauḌtī hai bhāgtī hai
zindagī raat raat jāgtī hai
chā.e-ḳhānoñ pe shab-guzāroñ ke
qahqahe gūñjte hī rahte haiñ
is kī shāmeñ hasīn hotī haiñ
is maqām-e-hasīn ke baasī
chāshnī hai zabān meñ jin kī
pāsbāñ ye amiir ḳhusrau ke
'mīr'-o-'ġhālib' ke rāzdān-e-suḳhan
vārisān-e-zabān-e-urdu haiñ
gholte haiñ miThās bātoñ se
apnā lahja hasīn rakhte haiñ
ek tahzīb hai saqāfat hai
is ke khānoñ kī apnī lazzat hai
aur phir husn kī tamāzat hai
dekhne vaale dekhte haiñ kahīñ
is ke sāhil pe raunaq-e-duniyā
kheltī hañstī ġhul machātī huī
man-chale hañste muskurāte hue
zindagī kī ġhazal sunāte hue
raunaqoñ ke asiir rahte haiñ
jis ko kahte the log kolāchi
ab vo sāhil kināre bastā shahr
jaanā jaatā hai shahr-e-qā.id se
log jis ko karāchi kahte haiñ
ek jazira zamin ke sine par
hai jo aabaad raushni se hai
jis ki saDkon pe raat der talak
zindagi dauDti hai bhagti hai
zindagi raat raat jagti hai
chae-KHanon pe shab-guzaron ke
qahqahe gunjte hi rahte hain
is ki shamen hasin hoti hain
is maqam-e-hasin ke basi
chashni hai zaban mein jin ki
pasban ye amir KHusrau ke
'mir'-o-'ghaalib' ke raazdan-e-suKHan
warisan-e-zaban-e-urdu hain
gholte hain miThas baaton se
apna lahja hasin rakhte hain
ek tahzib hai saqafat hai
is ke khanon ki apni lazzat hai
aur phir husn ki tamazat hai
dekhne wale dekhte hain kahin
is ke sahil pe raunaq-e-duniya
khelti hansti ghul machati hui
man-chale hanste muskuraate hue
zindagi ki ghazal sunate hue
raunaqon ke asir rahte hain
jis ko kahte the log kolachi
ab wo sahil kinare basta shahr
jaana jata hai shahr-e-qaid se
log jis ko karachi kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.