us din
baseñ chaltī raheñgī apne routoñ par
Trailer yūñhī bandar-gāh se sāmān lā.eñge
jahāzoñ aur trainoñ ke
schedule aur Time-Table meñ
na koī farq aa.egā
na koī mas.ala hogā
dukānoñ kār-ḳhānoñ daftaroñ meñ
hāzirī ma.amūl kī hogī
double-roTī banegī aur tannūroñ meñ
ḳhamīrī roġhnī saadī
sabhī aqsām kī roTī lagegī
aur shikam-serī kī ḳhātir pītza bargar sirī-pā.e nahārī ke
banāne aur pakāne meñ
zarā bhī jo kamī hogī
maiñ jis din mar gayā us din
raqīq-ul-qalb haiñ jo chāhne vaale
bahut ro ro ke apnā shaam ik
barbād kar leñge
jo jazbātī nahī itne
vo kuchh piite hue is raat mujh ko yaad kar leñge
basen chalti rahengi apne routon par
Trailer yunhi bandar-gah se saman laenge
jahazon aur trainon ke
schedule aur Time-Table mein
na koi farq aaega
na koi masala hoga
dukanon kar-KHanon daftaron mein
haziri mamul ki hogi
double-roTi banegi aur tannuron mein
KHamiri roghni sadi
sabhi aqsam ki roTi lagegi
aur shikam-seri ki KHatir pitza bargar siri-pae nahaari ke
banane aur pakane mein
zara bhi jo kami hogi
main jis din mar gaya us din
raqiq-ul-qalb hain jo chahne wale
bahut ro ro ke apna sham ek
barbaad kar lenge
jo jazbaati nahi itne
wo kuchh pite hue is raat mujh ko yaad kar lenge
- Book : ishq ki taqweem men (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.