us ka dard mera marham
na terā koī baserā
na merā koī Thikānā
chal mil ke DhūñDte haiñ
koī nayā āshiyānā
ek hī kashtī ke
ham donoñ haiñ musāfir
jo terā hai fasāna
vahī merā bhī afsāna
sunte haiñ bāñTne se
hote haiñ kuchh to ġham kam
vo mujh se se kah rahā hai
zarā tum bhī āzmānā
hairat ye ho rahī hai
kyoñ mil rahī hai rāhat
jab us ke bhī zaḳhmoñ ko
riste hue maiñ ne jaanā
na tera koi basera
na mera koi Thikana
chal mil ke DhunDte hain
koi naya aashiyana
ek hi kashti ke
hum donon hain musafir
jo tera hai fasana
wahi mera bhi afsana
sunte hain banTne se
hote hain kuchh to gham kam
wo mujh se se kah raha hai
zara tum bhi aazmana
hairat ye ho rahi hai
kyon mil rahi hai rahat
jab us ke bhi zaKHmon ko
riste hue main ne jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.