us ka dil to achchha dil tha
ek hai aisī laḌkī jis se tum ne hañs kar baat na kī
kabhī na dekhā us kī āñkhoñ meñ chamke kaise motī
kabhī na sochā tum se aisī bāteñ vo kyuuñ kahtī hai
kabhī na samjhā milte ho to ghabrā.ī kyuuñ rahtī hai
kaise us ruḳhsār kī rañgat sarsoñ jaisī zard huī
jab tak milī nahīñ thī tum se vo aisī tanhā to na thī
mil kar aañkh bahāne se vo kab tak aañsū rokegī
us ke hoñToñ kī larzish bhī tum ne kabhī nahīñ dekhī
kyuuñ aisī sunsān saḌak par use akelā chhoḌ diyā
us kā dil to achchhā dil thā jis ko tum ne yuuñ toḌ diyā
vo kuchh nādim vo kuchh hairāñ rasta DhūñDā kartī thī
Dhaltī dhuup meñ apnā be kal saaya dekh ke hañstī thī
āḳhir sūraj Duub gayā aur raah meñ us ko shaam huī
ek hai aisi laDki jis se tum ne hans kar baat na ki
kabhi na dekha us ki aankhon mein chamke kaise moti
kabhi na socha tum se aisi baaten wo kyun kahti hai
kabhi na samjha milte ho to ghabrai kyun rahti hai
kaise us ruKHsar ki rangat sarson jaisi zard hui
jab tak mili nahin thi tum se wo aisi tanha to na thi
mil kar aankh bahane se wo kab tak aansu rokegi
us ke honTon ki larzish bhi tum ne kabhi nahin dekhi
kyun aisi sunsan saDak par use akela chhoD diya
us ka dil to achchha dil tha jis ko tum ne yun toD diya
wo kuchh nadim wo kuchh hairan rasta DhunDa karti thi
Dhalti dhup mein apna be kal saya dekh ke hansti thi
aaKHir suraj Dub gaya aur rah mein us ko sham hui
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-273 p-261)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.