us ka dukh
vo muntazir thī
hazār sadiyoñ se muntazir thī
maiñ ek zarra
havā ke rath par savār, hañstā huā
ḳhalāoñ meñ gungunātā
hazār-hā saal ke sabhī hādsoñ kī garmī ragoñ meñ bhar kar
ghane daraḳhtoñ ke narm sāyoñ meñ aa ke utrā
vo muntazir thī
mujhe thakan se niDhāl dekhā
to khilkhilā kar lipaT ga.ī mujh se be-tahāshā
mire badan ko vo rañg baḳhshā
ki ḳhushbuoñ meñ nahā.īñ pagDañDiyāñ suhānī
vo nuur mujh ko atā kiyā
jagmagā ga.iiñ jañgaloñ kī tanhā.iyāñ purānī
hazār sadiyāñ guzar chukī haiñ
maiñ aaj ḳhud ko Dubo chukā huuñ hayāt ke
ḳhair o shar meñ yaksar
magar vo ab bhī pukārtī hai mire lahū ko
mire janam kī vo muntazir hai
hazār sadiyoñ se muntazir hai
wo muntazir thi
hazar sadiyon se muntazir thi
main ek zarra
hawa ke rath par sawar, hansta hua
KHalaon mein gungunata
hazar-ha sal ke sabhi hadson ki garmi ragon mein bhar kar
ghane daraKHton ke narm sayon mein aa ke utra
wo muntazir thi
mujhe thakan se niDhaal dekha
to khilkhila kar lipaT gai mujh se be-tahasha
mere badan ko wo rang baKHsha
ki KHushbuon mein nahain pagDanDiyan suhani
wo nur mujh ko ata kiya
jagmaga gain jangalon ki tanhaiyan purani
hazar sadiyan guzar chuki hain
main aaj KHud ko Dubo chuka hun hayat ke
KHair o shar mein yaksar
magar wo ab bhi pukarti hai mere lahu ko
mere janam ki wo muntazir hai
hazar sadiyon se muntazir hai
- Book : Intekhab-e- kumaar paashii (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.