uske dushman
sahar huī to kisī ne uTh kar
lahū meñ tar ek surḳh buuTī
baḌī karāhat se
āsmāñ ke farāḳh āñgan meñ pheñk dī aur
tavīl matlī kī jān-levā sī kaifiyat se najāt paa.ī
magar falak ke farāḳh āñgan meñ
bādaloñ ke safed sag us ke muntazir the
jhapaT paḌe us lahū meñ tar dil ke lothaḌe par
jhapaT paḌe ek dūsre par
zamīn ke logoñ ne der tak ye laḌā.ī dekhī
safed kuttoñ ke surḳh jabḌe
lahū meñ tar ek laal TukḌā darīda sūraj
harīs girāte bādaloñ kā tavīl gahrā muhīb dukhḌā
mirī zamīñ bhī to gosht kā lothḌā thī jis ko
kisī ne andhe ḳhalā meñ pheñkā
magar na koī bhī us pe jhapTā
tab us ke andar se aa.e bāhar
usī ke dushman
usī kī bū par
hazāroñ ḳhuñḳhār tund kutte
harīs jabḌe
aur ab darīda zamīn saarī
Tapakte girte lahū ke qatroñ meñ ris rahī hai
ḳhud apne ḳhuñḳhār tund bachchoñ ke tez jabḌoñ meñ pis rahī hai
sahar hui to kisi ne uTh kar
lahu mein tar ek surKH buTi
baDi karahat se
aasman ke faraKH aangan mein phenk di aur
tawil matli ki jaan-lewa si kaifiyat se najat pai
magar falak ke faraKH aangan mein
baadalon ke safed sag us ke muntazir the
jhapaT paDe us lahu mein tar dil ke lothaDe par
jhapaT paDe ek dusre par
zamin ke logon ne der tak ye laDai dekhi
safed kutton ke surKH jabDe
lahu mein tar ek lal TukDa darida suraj
haris giraate baadalon ka tawil gahra muhib dukhDa
meri zamin bhi to gosht ka lothDa thi jis ko
kisi ne andhe KHala mein phenka
magar na koi bhi us pe jhapTa
tab us ke andar se aae bahar
usi ke dushman
usi ki bu par
hazaron KHunKHar tund kutte
haris jabDe
aur ab darida zamin sari
Tapakte girte lahu ke qatron mein ris rahi hai
KHud apne KHunKHar tund bachchon ke tez jabDon mein pis rahi hai
- Book : Nirdbaan (Pg. 82)
- Author : Wazir Agha
- Publication : Nusrat Anwar (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.