uske nam jise tariki nigal chuki
kaun paḌh saktā hai bātin ko
kaun chhū saktā hai āñkhoñ kī vīrānī ko
kaun dīvāroñ pe martī dhuup ko apne andar utaar saktā hai
jab havās koḌh-zada ho jaa.eñ
tab judā.ī ke zaḳhm se man ajnabī ho jaatā hai
vo merī āvāz ke lams se bahut duur hai
vo kaun sī banjar zamīn hai
jahāñ mere kisī ehsās kisī kaifiyat kī rasā.ī nahīñ hotī
be-tahāshā chīḳh mere andar jam.a hai
mohabbat kis kis tarah se mazāq bantī hai
ḳhudā ne har baar mere dil ko āzmāyā
ye merī ḳhud-kalāmī hai jo mujhe zinda rakhe hue hai
varna mujhe mārne vāloñ ne
merā amn ḳhālī kar diyā thā
us ne ḳhāmoshī ko apnā hathiyār banāyā
aur us hathiyār se
fariyād karne vaale kī ruuh ko zaḳhmī kar diyā
vo jāntā hai
tashaddud kis kis tarah se kiyā jā saktā hai
vo be-zār ho gayā us āvāz se
vo be-zār ho gayā us āvāz se
jo rok rahī thī use añdheroñ meñ jaane se
afsos
vo kho gayā
use tārīkī nigal chukī hai
kaun paDh sakta hai baatin ko
kaun chhu sakta hai aankhon ki virani ko
kaun diwaron pe marti dhup ko apne andar utar sakta hai
jab hawas koDh-zada ho jaen
tab judai ke zaKHm se man ajnabi ho jata hai
wo meri aawaz ke lams se bahut dur hai
wo kaun si banjar zamin hai
jahan mere kisi ehsas kisi kaifiyat ki rasai nahin hoti
be-tahasha chiKH mere andar jama hai
mohabbat kis kis tarah se mazaq banti hai
KHuda ne har bar mere dil ko aazmaya
ye meri KHud-kalami hai jo mujhe zinda rakhe hue hai
warna mujhe marne walon ne
mera amn KHali kar diya tha
us ne KHamoshi ko apna hathiyar banaya
aur us hathiyar se
fariyaad karne wale ki ruh ko zaKHmi kar diya
wo jaanta hai
tashaddud kis kis tarah se kiya ja sakta hai
wo be-zar ho gaya us aawaz se
wo be-zar ho gaya us aawaz se
jo rok rahi thi use andheron mein jaane se
afsos
wo kho gaya
use tariki nigal chuki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.