us lamhe ke liye mujhe fursat nahin
is lamhe ġham ke liye
mujhe fursat nahīñ
shelf meñ idhar udhar rakhī huī
kitāboñ ko
tartīb denā chāhtā huuñ
bāhar bārish ho rahī hai
bārish ke qatre havā ke saath
raqs kar rahe haiñ
mujhe michael jackson kā
koī pur-shor giit sunñā chāhiye
is lamhe ġham ke liye
apne chehre pe chhā.ī vahshat ko
ek shave ke zariye
ḳhatm karnā chāhtā huuñ
nazm kī kitāb se
sūkhī yādoñ ko alvidā.a karnā chāhtā huuñ
apnī pahlī mohabbat ko yaad kar ke
qahqahe lagānā chāhtā huuñ
ye merī āñkhoñ meñ
aañsū kyuuñ aa rahe haiñ
is lamhe gham ke liye
mujhe fursat nahin
shelf mein idhar udhar rakhi hui
kitabon ko
tartib dena chahta hun
bahar barish ho rahi hai
barish ke qatre hawa ke sath
raqs kar rahe hain
mujhe michael jackson ka
koi pur-shor git sunna chahiye
is lamhe gham ke liye
apne chehre pe chhai wahshat ko
ek shawe ke zariye
KHatm karna chahta hun
nazm ki kitab se
sukhi yaadon ko alwidaa karna chahta hun
apni pahli mohabbat ko yaad kar ke
qahqahe lagana chahta hun
ye meri aankhon mein
aansu kyun aa rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.