us mez par sar jhukae
ek laḌkī mujhe sketch kar rahī thī
laḌkī kī drawing agarche achchhī nahīñ thī
lekin use is qadar munhamik dekh kar
maiñ bahut mutā.assir huā
mujhe ḳhvāhish huī
ki maiñ us laḌkī kā bosa hī le luuñ
magar merā dhaḌ ġhā.eb thā
merī drawing us laḌkī se kahīñ ziyāda behtar thī
aur maiñ us kī chhātiyāñ banānā bhī chāhtā thā
jo us ke khule hue garebān se jhāñk rahī thiiñ
lekin merā baqiyā jism vahāñ nahīñ thā
use shāyad jañgalī jānvar bhañbhoḌ rahe hoñ
drawing meñ ma.amūlī dastgāh rakhne ke bāvajūd
laḌkī ne mere chehre kī udāsī ko
bhar puur tarīqe se kāġhaz par muntaqil kar diyā thā
lekin vo mere nichle dhaḌ ko
baar baar koshish ke bāvajūd
banāne meñ nākām rahī thī
mujhe lagā vo mere jism ko
jañgalī jānvaroñ se bachāne kī har mumkin koshish kar rahī hai
kyā use ma.alūm hai
agar vo is kashmakash meñ kāmyāb rahī
aur merā jism puurī tarah bāzyāb karā sakī
to mere haath
sab se pahle
kis chiiz ko chhū lenā chāheñge
ek laDki mujhe sketch kar rahi thi
laDki ki drawing agarche achchhi nahin thi
lekin use is qadar munhamik dekh kar
main bahut mutaassir hua
mujhe KHwahish hui
ki main us laDki ka bosa hi le lun
magar mera dhaD ghaeb tha
meri drawing us laDki se kahin ziyaada behtar thi
aur main us ki chhatiyan banana bhi chahta tha
jo us ke khule hue gareban se jhank rahi thin
lekin mera baqiya jism wahan nahin tha
use shayad jangali jaanwar bhanbhoD rahe hon
drawing mein mamuli dastgah rakhne ke bawajud
laDki ne mere chehre ki udasi ko
bhar pur tariqe se kaghaz par muntaqil kar diya tha
lekin wo mere nichle dhaD ko
bar bar koshish ke bawajud
banane mein nakaam rahi thi
mujhe laga wo mere jism ko
jangali jaanwaron se bachane ki har mumkin koshish kar rahi hai
kya use malum hai
agar wo is kashmakash mein kaamyab rahi
aur mera jism puri tarah bazyab kara saki
to mere hath
sab se pahle
kis chiz ko chhu lena chahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.