usne hamd likkhi hai
is qadar hasīñ chehra
is qadar hasīñ āñkheñ
ye gulāb se ruḳhsār
pal meñ tamtamā uTTheñ
pal meñ jagmagā uTTheñ
pañkhuḌī se nāzuk lab
aap hī bisoreñ aur
aap muskurā uTTheñ
mujh ko yaad aatā hai
jab tumhārī kilkārī
gūñjtī thī kamroñ meñ
jab tumhārī gul-kārī
phailtī thī bistar par
shab ko jab jagāte the
din ko jab thakāte the
aisī hukmarānī par
merī jaan jaltī thī
aur aise lamhe meñ
tum hañsī uḌāte the
tum hañsī uḌāte the
qahqahe lagāte the
kis ne ye sikhā.e sab
naaz aur adā tum ko
tum to saada kāġhaz the
tum ko maiñ ne jab paayā
tum ko maiñ ne jab dekhā
aur jis ghaḌī chūmā
kyā ajiib lamha thā
tum to āñkheñ mūñde the
aur jab khulīñ āñkheñ
hairatī thā ā.īna
muñh takā hī kartā thā
bas ḳhamosh jis-tis kā
phir jo lab hue goyā
kuchh yaqīñ na aatā thā
sab karishma-sāzī hai
ek andhe kiiḌe kī
yā zarā sī mehnat hai
is bhalī kumhāran kī
jis ke band aave meñ
kuchh ḳhabar nahīñ kyā hai
aag hai ki paanī hai
phuul hai ki chehra hai
haañ sunā ye thā maiñ ne
arsh se farishta ik
aa ke batn-e-mādar meñ
Dhāltā hai ḳhadd-o-ḳhāl
nanhe nanhe a.azā par
naqsh se banātā hai
us hasīn saa.at meñ
jis ko jitnī fursat ho
jaisī istitā.at ho
vo hunar dikhātā hai
so yaqīn hai merā
jis aziim saa.at meñ
mehrbāñ farishte ne
tum ko mujh meñ Dhālā hai
us balīġh saa.at meñ
us ne shā.irī kī hai
us ne hamd likkhī hai
is qadar hasin chehra
is qadar hasin aankhen
ye gulab se ruKHsar
pal mein tamtama uTThen
pal mein jagmaga uTThen
pankhuDi se nazuk lab
aap hi bisoren aur
aap muskura uTThen
mujh ko yaad aata hai
jab tumhaari kilkari
gunjti thi kamron mein
jab tumhaari gul-kari
phailti thi bistar par
shab ko jab jagate the
din ko jab thakate the
aisi hukmarani par
meri jaan jalti thi
aur aise lamhe mein
tum hansi uDate the
tum hansi uDate the
qahqahe lagate the
kis ne ye sikhae sab
naz aur ada tum ko
tum to sada kaghaz the
tum ko main ne jab paya
tum ko main ne jab dekha
aur jis ghaDi chuma
kya ajib lamha tha
tum to aankhen munde the
aur jab khulin aankhen
hairati tha aaina
munh taka hi karta tha
bas KHamosh jis-tis ka
phir jo lab hue goya
kuchh yaqin na aata tha
sab karishma-sazi hai
ek andhe kiDe ki
ya zara si mehnat hai
is bhali kumhaaran ki
jis ke band aawe mein
kuchh KHabar nahin kya hai
aag hai ki pani hai
phul hai ki chehra hai
han suna ye tha main ne
arsh se farishta ek
aa ke batn-e-madar mein
Dhaalta hai KHadd-o-KHal
nanhe nanhe aaza par
naqsh se banata hai
us hasin saat mein
jis ko jitni fursat ho
jaisi istitaat ho
wo hunar dikhata hai
so yaqin hai mera
jis azim saat mein
mehrban farishte ne
tum ko mujh mein Dhaala hai
us baligh saat mein
us ne shairi ki hai
us ne hamd likkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.