us se kah do
is se kah do ki vo apne dikhte hue bāzuoñ ko yūñhī tah rakhe
rāhdārī ke parle sire par vo kis se milegī
koī ḳhvāb rātoñ kī bojhal havā meñ kisī par sameTe parinde kā ḳhvāb
koī ḳhvāb bīmār bistar pe bujhte samay
raat ke narm paañv guzarne kā ḳhvāb
band kamre meñ dopahar bhar sirf ik zer jaame meñ sone kā ḳhvāb
yā koī āñganoñ meñ utartī huī aañkh kī koñpaloñ se ulajhtī huī dhuup
bhak se uḌ jaane vaalī surañgoñ kī mānind bichhtī huī dhuup
muñh añdhere ye dāñtoñ tale kirkirātī huī dhuup
us se kah do kahīñ bhī koī ḳhvāb ho dhuup ho
nisf-shab apne shauhar ke pahlū se uThtī huī
nīm-tārīk ziine se tham tham utartī huī
ek be-ant
lambī masāfat pe phailī huī rāhdārī ke parle sire par vo kis se milegī
us se kah do darīche ke parde girā de
ki khiḌkī se aatī huī raushnī gard hī gard hai
magar taaq bhī apnī nam-ḳhurdgī meñ baḌā zahr hai
us se kah do ki vo apne dikhte hue bāzuoñ ko yūñhī tah rakhe
is se kah do ki wo apne dikhte hue bazuon ko yunhi tah rakhe
rahdari ke parle sire par wo kis se milegi
koi KHwab raaton ki bojhal hawa mein kisi par sameTe parinde ka KHwab
koi KHwab bimar bistar pe bujhte samay
raat ke narm panw guzarne ka KHwab
band kamre mein dopahar bhar sirf ek zer jame mein sone ka KHwab
ya koi aanganon mein utarti hui aankh ki konpalon se ulajhti hui dhup
bhak se uD jaane wali surangon ki manind bichhti hui dhup
munh andhere ye danton tale kirkiraati hui dhup
us se kah do kahin bhi koi KHwab ho dhup ho
nisf-shab apne shauhar ke pahlu se uThti hui
nim-tarik zine se tham tham utarti hui
ek be-ant
lambi masafat pe phaili hui rahdari ke parle sire par wo kis se milegi
us se kah do dariche ke parde gira de
ki khiDki se aati hui raushni gard hi gard hai
magar taq bhi apni nam-KHurdgi mein baDa zahr hai
us se kah do ki wo apne dikhte hue bazuon ko yunhi tah rakhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.