us shahrah par
bahtī āñkhoñ ne
hamārī shanāḳht miTā dī hai
chehre se aarī jism
saḌkoñ par luḌhaktā hai
nafrat kartā hai
pyaar kartā hai
koī bhī jazba use
us kī shanāḳht nahīñ lauTātā
kāñTe mazāq uḌāte haiñ
Dance karte haiñ
kyā unheñ āñkhoñ ke
in sūrāḳhoñ meñ utārā jā saktā hai
jin meñ laavā bah kar aatā hai
aur har us rāste ko jalā detā hai
jis par raushnī reñg kar guzar saktī hai
us shāhrāh tak pahuñchne ke liye
agar hameñ apnī āñkhoñ se haath dhonā paḌe
to koī baat nahīñ
chalo vahāñ chaleñ
jahāñ log taklīf-dah chīzeñ
pheñk aate haiñ
bahti aankhon ne
hamari shanaKHt miTa di hai
chehre se aari jism
saDkon par luDhakta hai
nafrat karta hai
pyar karta hai
koi bhi jazba use
us ki shanaKHt nahin lauTata
kanTe mazaq uDate hain
Dance karte hain
kya unhen aankhon ke
in suraKHon mein utara ja sakta hai
jin mein lawa bah kar aata hai
aur har us raste ko jala deta hai
jis par raushni reng kar guzar sakti hai
us shahrah tak pahunchne ke liye
agar hamein apni aankhon se hath dhona paDe
to koi baat nahin
chalo wahan chalen
jahan log taklif-dah chizen
phenk aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.