us taraf
unheñ azal kī titliyoñ ke
rañg kī talāsh thī
ḳhudā ke chhūTte hue
ḳhadañg kī talāsh thī
to vo
har ik muhāvare ke us taraf chale ga.e
zamīñ ke har ma.āshre ke us taraf chale ga.e
vahāñ jahāñ se jañgaloñ ke rāste qarīb the
vahāñ jahāñ se zindagī ke hāfize qarīb the
unhen azal ki titliyon ke
rang ki talash thi
KHuda ke chhuTte hue
KHadang ki talash thi
to wo
har ek muhaware ke us taraf chale gae
zamin ke har maashre ke us taraf chale gae
wahan jahan se jangalon ke raste qarib the
wahan jahan se zindagi ke hafize qarib the
- Book : (shayeri Nahin hai yeh ) (Pg. 104)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.