ushshaq-e-KHirad-mand
sune ajdād se qisse
tire mahbūb bandoñ ke
ka.ī majzūb bandoñ ke
fanā ke jaam lete the
vafā se kaam lete the
baqā ko thaam lete the
kabhī suulī pe aate the
kabhī sahrā ko jaate the
kabhī raqs-e-nadāmat thā
yūñhī murshid manāte the
anal-haq kī sadā.eñ thiiñ
visāl-e-yār paate the
mohabbat hī mohabbat thī
na ġham thā peT bharne kā
na shikva roz marne kā
jahāñ ne rang-o-Dhang badle
manāzir dam-ba-dam badle
qadam bahke qadam badle
idhar ahl-e-jahāñ badle
ḳhudā badlā sanam badle
mohabbat kī bajā.e māl-o-zar pe jaan dete haiñ
hamāre ahd ke ushshāq
ab rusvā nahīñ hote
kabhī tanhā nahīñ hote
haqīqat maan lete haiñ
kabhī duniyā se laḌte the
magar ab maslahat se kaam lete haiñ
sune ajdad se qisse
tere mahbub bandon ke
kai majzub bandon ke
fana ke jam lete the
wafa se kaam lete the
baqa ko tham lete the
kabhi suli pe aate the
kabhi sahra ko jate the
kabhi raqs-e-nadamat tha
yunhi murshid manate the
anal-haq ki sadaen thin
visal-e-yar pate the
mohabbat hi mohabbat thi
na gham tha peT bharne ka
na shikwa roz marne ka
jahan ne rang-o-Dhang badle
manazir dam-ba-dam badle
qadam bahke qadam badle
idhar ahl-e-jahan badle
KHuda badla sanam badle
mohabbat ki bajae mal-o-zar pe jaan dete hain
hamare ahd ke ushshaq
ab ruswa nahin hote
kabhi tanha nahin hote
haqiqat man lete hain
kabhi duniya se laDte the
magar ab maslahat se kaam lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.