usi moD par aa khaDi hoti hai
bārhā zindagī
koī mausam koī rut yahāñ kuchh nahīñ
duur tak ḳhaak uḌtī hai
sannāTā hai
vo jo us moḌ par ham ne ik din kiyā
chaah kar bhī bhulā na sake aaj tak
jhuuT sach ḳhair shar bad bhalā kyā thā vo
tum milo jo kabhī
baiTh ke tai kareñ
bas zarā soch leñ
tum bhī aate ho aksar yahāñ
suntā huuñ
barha zindagi
koi mausam koi rut yahan kuchh nahin
dur tak KHak uDti hai
sannaTa hai
wo jo us moD par hum ne ek din kiya
chah kar bhi bhula na sake aaj tak
jhuT sach KHair shar bad bhala kya tha wo
tum milo jo kabhi
baiTh ke tai karen
bas zara soch len
tum bhi aate ho aksar yahan
sunta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.