usul ke jazire
sarhadeñ
kitnī purānī kirm-ḳhurda ho chukī haiñ
jism ko ab kyā zarūrat rah ga.ī hai
ek hī kamre meñ rah kar
vo alag jalte jazīroñ meñ sulagne kī
ye dīvāreñ
jinheñ har raat nañgā zehn
apnī khurdurī āñkhoñ se zaḳhmī kar rahā hai
ek din phiregā shāyad tum bhī ab mahsūs karne hī lage ho
sarhaden
kitni purani kirm-KHurda ho chuki hain
jism ko ab kya zarurat rah gai hai
ek hi kamre mein rah kar
wo alag jalte jaziron mein sulagne ki
ye diwaren
jinhen har raat nanga zehn
apni khurduri aankhon se zaKHmi kar raha hai
ek din phirega shayad tum bhi ab mahsus karne hi lage ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.