uThenge maut se pahle
uTheñge maut se pahle usī safar ke liye
jise hayāt ke sadmoñ ne multavī na kiyā
vo ham ki phuul kī lau ko fareb dete the
qarīb-e-shām sitāroñ kī rahguzar pe chale
vo ham ki taaza jahāñ ke naqīb-e-zan the na.e
sabā kī chaal se aage hamārī chaal rahī
magar gumān ke qadmoñ ne us ko tai na kiyā
vahī safar jo hamāre aur us ke biich rahā
jise hayāt ke sadmoñ ne multavī na kiyā
uThā ke haath meñ neze pilā ke āb-e-sarāb
kamīn-gāh-e-havas se nishāne dil ke liye
tamām samt se aa.ī shahābiyoñ kī sipāh
hamārī zaat ko gherā misāl-e-lashkar-e-shām
hazār baar ulajh ke phaTā libās-e-yaqīñ
magar Talī na kabhī us mubāhise se zabāñ
jo sākinān-e-zamīñ aur hamāre biich huā
rah-e-vaqār pe baiThe the aa.ine le kar
jinheñ sabāt pe koī bhī iḳhtiyār na thā
thamā ke haath meñ ġham ke burāq-e-dil kī inaañ
nikal ga.e na ruke ruuh kī hadoñ se idhar
falak ke kohna darīche salām karte rahe
magar charāġh kā saaya abhī vajūd meñ hai
zarūr apne hisāroñ meñ legā nūr-e-dimāġh
sahar ke vaqt baḌhegā ġhunūdgī kā asar
darāz hogā vahīñ dard ke shabāb kā qad
milā ġhubār kī sūrat jahāñ nasīb kā phal
jahāñ shikār huā hai mirī zabāñ kā hunar
vahīñ se DhūñD ke lā.eñge aadmī kī ḳhabar
uTheñge maut se pahle usī safar ke liye
uThenge maut se pahle usi safar ke liye
jise hayat ke sadmon ne multawi na kiya
wo hum ki phul ki lau ko fareb dete the
qarib-e-sham sitaron ki rahguzar pe chale
wo hum ki taza jahan ke naqib-e-zan the nae
saba ki chaal se aage hamari chaal rahi
magar guman ke qadmon ne us ko tai na kiya
wahi safar jo hamare aur us ke bich raha
jise hayat ke sadmon ne multawi na kiya
uTha ke hath mein neze pila ke aab-e-sarab
kamin-gah-e-hawas se nishane dil ke liye
tamam samt se aai shahabiyon ki sipah
hamari zat ko ghera misal-e-lashkar-e-sham
hazar bar ulajh ke phaTa libas-e-yaqin
magar Tali na kabhi us mubahise se zaban
jo sakinan-e-zamin aur hamare bich hua
rah-e-waqar pe baiThe the aaine le kar
jinhen sabaat pe koi bhi iKHtiyar na tha
thama ke hath mein gham ke buraq-e-dil ki inan
nikal gae na ruke ruh ki hadon se idhar
falak ke kohna dariche salam karte rahe
magar charagh ka saya abhi wajud mein hai
zarur apne hisaron mein lega nur-e-dimagh
sahar ke waqt baDhega ghunudgi ka asar
daraaz hoga wahin dard ke shabab ka qad
mila ghubar ki surat jahan nasib ka phal
jahan shikar hua hai meri zaban ka hunar
wahin se DhunD ke laenge aadmi ki KHabar
uThenge maut se pahle usi safar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.