uTho naujawano
añdhere haTāo ujāle bichhāo
sadāqat se apne vatan ko sajāo
tumhāre liye ne'mateñ haiñ jahāñ kī
chalo saath mil ke nasīb āzmāo
ḳhudī bhī tumhārī ḳhudā bhī tumhārā
ḳhudā ke liye jaan par khel jaao
tumheñ rahmatoñ kā sahārā milegā
mohabbat se mehnat kā jaadū jagāo
phir āvāz iflās kī aa rahī hai
baḌho apnī dhartī pe sonā ugaao
ḳhayālāt ko ek markaz pe laao
uTho naujavāno vatan ko bachāo
ye amn-o-amāñ ke talabgār bande
ye mazdūr bande ye jī-dār bande
ye sābir ye shākir ye zākir ye zāhid
ye dīn-e-ilāhī ke me'mār bande
abhī ro rahe the abhī hañs rahe haiñ
ye majbūr bande ye muḳhtār bande
nigāhoñ meñ apne samā.e hue haiñ
fareb-e-nazar meñ giraftār bande
gulistāñ meñ haiñ jo guloñ ke muhāfiz
unheñ aaj un kī haqīqat batāo
ga.e vaqt kā aa.ina bhī dikhāo
uTho naujavāno vatan ko bachāo
mohabbat meñ nafrat se bach kar chaleñge
kudūrat miTegī to sāġhar chaleñge
zabardast haiñ zer-dastoñ pe haavī
ki teġhoñ ke saa.e meñ ḳhanjar chaleñge
mohabbat ko bhī harf-e-āḳhir na samjho
mohabbat se aage bhī soz-e-suḳhan hai
jahannum ke sho'le bhaḌakne se pahle
sadā aa rahī hai ki tan ko bachāo
ḳharābe se sehn-e-chaman ko bachāo
uTho naujavāno vatan ko bachāo
idhar inqilābī taqaddus baḌhegā
udhar chāñd tāroñ ke chakkar chaleñge
ujāle meñ har khel khelo ḳhushī se
añdhere se pahle magar chal chaleñge
dar-e-mai-kada band hone na denā
agar toḌ sakte nahīñ Tuut jaao
phir apne ḳhudā ko sahārā banāo
uTho naujavāno vatan ko bachāo
yahī paak dhartī hamārā vatan hai
isī kī taraqqī hamārī lagan hai
jiyāle javānoñ kī dānishvaroñ kī
yahī anjuman hai yahī anjuman hai
shujā'at ke qisse kahāñ tak sunā.ūñ
javānī kī ḳhushbū chaman-dar-chaman hai
andhere haTao ujale bichhao
sadaqat se apne watan ko sajao
tumhaare liye ne'maten hain jahan ki
chalo sath mil ke nasib aazmao
KHudi bhi tumhaari KHuda bhi tumhaara
KHuda ke liye jaan par khel jao
tumhein rahmaton ka sahaara milega
mohabbat se mehnat ka jadu jagao
phir aawaz iflas ki aa rahi hai
baDho apni dharti pe sona ugao
KHayalat ko ek markaz pe lao
uTho naujawano watan ko bachao
ye amn-o-aman ke talabgar bande
ye mazdur bande ye ji-dar bande
ye sabir ye shakir ye zakir ye zahid
ye din-e-ilahi ke me'mar bande
abhi ro rahe the abhi hans rahe hain
ye majbur bande ye muKHtar bande
nigahon mein apne samae hue hain
fareb-e-nazar mein giraftar bande
gulistan mein hain jo gulon ke muhafiz
unhen aaj un ki haqiqat batao
gae waqt ka aaina bhi dikhao
uTho naujawano watan ko bachao
mohabbat mein nafrat se bach kar chalenge
kudurat miTegi to saghar chalenge
zabardast hain zer-daston pe hawi
ki teghon ke sae mein KHanjar chalenge
mohabbat ko bhi harf-e-aKHir na samjho
mohabbat se aage bhi soz-e-suKHan hai
jahannum ke sho'le bhaDakne se pahle
sada aa rahi hai ki tan ko bachao
KHarabe se sehn-e-chaman ko bachao
uTho naujawano watan ko bachao
idhar inqilabi taqaddus baDhega
udhar chand taron ke chakkar chalenge
ujale mein har khel khelo KHushi se
andhere se pahle magar chal chalenge
dar-e-mai-kada band hone na dena
agar toD sakte nahin Tut jao
phir apne KHuda ko sahaara banao
uTho naujawano watan ko bachao
yahi pak dharti hamara watan hai
isi ki taraqqi hamari lagan hai
jiyale jawanon ki danishwaron ki
yahi anjuman hai yahi anjuman hai
shuja'at ke qisse kahan tak sunaun
jawani ki KHushbu chaman-dar-chaman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.