unche darje ka sailab
zamīñ kā husn sabza hai
magar ab sabz pate zard ho kar jhaḌte jaate haiñ
bahāreñ dair se aatī haiñ
jugnū hai na titlī ḳhushbūoñ... se rañg rūThe haiñ
jahāñ jañgal huā karte the aur bārish dhanak le kar utartī thī
jahāñ barsāt meñ koyal, papīhe chahchahāte the
vahāñ ab ḳhaak uḌtī hai
daraḳhtoñ kī kamī se aa ga.ī hai dhuup meñ shiddat
fazā kā mehrbāñ haala pighaltā jā rahā hai
āsmāñ tāñbe meñ Dhaltā jā rahā hai
is liye be-mehr mausam ab satāte haiñ
dhueñ ke, gard ke, ālūdgī ke, shor ke mausam
galī, kūchoñ, gharoñ meñ kār-ḳhānoñ meñ bas ab
saḌak par shor bahtā hai
sunā.ī hī nahīñ detā hamārā dil jo kahtā hai
mohabbat kā parinda āj-kal ḳhāmosh rahtā hai
parinde pyaas meñ Duube haiñ aur paanī nahīñ piite
ki dariyāoñ kī shiryānoñ meñ ab shaffāf paanī kī jagah ālūdgī kā zahr hai
hameñ jab bahr o bar kī hukmarānī dī ga.ī hai to ye ham ko sochnā hogā
zamīnoñ, pāniyoñ, māhaul kī bīmāriyoñ kā koī mudāvā hai
kahīñ in kā sabab ham to nahīñ bante?
sabab koī bhī ho āḳhir mudāvā kuchh to karnā hai
ye tasvīr-e-jahāñ hai rañg is meñ ham ko bharnā hai
zamin ka husn sabza hai
magar ab sabz pate zard ho kar jhaDte jate hain
bahaaren dair se aati hain
jugnu hai na titli KHushbuon se rang ruThe hain
jahan jangal hua karte the aur barish dhanak le kar utarti thi
jahan barsat mein koyal, papihe chahchahate the
wahan ab KHak uDti hai
daraKHton ki kami se aa gai hai dhup mein shiddat
faza ka mehrban haala pighalta ja raha hai
aasman tanbe mein Dhalta ja raha hai
is liye be-mehr mausam ab satate hain
dhuen ke, gard ke, aaludgi ke, shor ke mausam
gali, kuchon, gharon mein kar-KHanon mein bas ab
saDak par shor bahta hai
sunai hi nahin deta hamara dil jo kahta hai
mohabbat ka parinda aaj-kal KHamosh rahta hai
parinde pyas mein Dube hain aur pani nahin pite
ki dariyaon ki shiryanon mein ab shaffaf pani ki jagah aaludgi ka zahr hai
hamein jab bahr o bar ki hukmarani di gai hai to ye hum ko sochna hoga
zaminon, paniyon, mahaul ki bimariyon ka koi mudawa hai
kahin in ka sabab hum to nahin bante?
sabab koi bhi ho aaKHir mudawa kuchh to karna hai
ye taswir-e-jahan hai rang is mein hum ko bharna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.