unT
laqq-o-daq sahrā meñ yā maidān meñ
yā arab ke garm registān meñ
saya-afgan hai na vaañ koī chaTān
sard paanī kā na dariyā kā nishān
chilchilātī dhuup hai aur chup havā
vaañ parinda bhī nahīñ par mārtā
tū vahāñ ke marhale kartā hai tai
din-ba-din aur hafta hafta pai-ba-pai
qīmtī ashyā haiñ terī pusht par
tājiroñ kā resham aur shāhoñ kā zar
toda toda tere uupar lad rahā
hai bharā goyā jahāz-e-pur-bahā
chand hafte jab ki jaate haiñ guzar
aur thakā detā hai rākib ko safar
uuñT! ghabrātā nahīñ tū baar se
dekhtā hai us kī jānib pyaar se
goyā kahtā hai ki ai mere savār
ek din tū aur bhī himmat na haar
haañ na be-dil ho na raste meñ ThiThak
saaf sar-chashma hai aage dhar lapak
mujh ko aatī hai havā se bū-e-āb
nā-umīdī se na kar tū iztirāb
uuñT tū kartā hai us kī rahbarī
yuuñ banā detā hai rākib ko jarī
āḳhirash manzil pe pahuñchātā hai tū
aur sūkhe ḳhār-o-ḳhas khātā hai tū
sabr se kartā hai tai rāh-e-darāz
sach kahā hai tū hai ḳhushkī kā jahāz
al-ġharaz tū hai halīm o ḳhush-ḳhisāl
tarbiyat meñ chhoTe bachchoñ kī misāl
laqq-o-daq sahra mein ya maidan mein
ya arab ke garm registan mein
saya-afgan hai na wan koi chaTan
sard pani ka na dariya ka nishan
chilchilati dhup hai aur chup hawa
wan parinda bhi nahin par marta
tu wahan ke marhale karta hai tai
din-ba-din aur hafta hafta pai-ba-pai
qimti ashya hain teri pusht par
tajiron ka resham aur shahon ka zar
toda toda tere upar lad raha
hai bhara goya jahaz-e-pur-baha
chand hafte jab ki jate hain guzar
aur thaka deta hai rakib ko safar
unT! ghabraata nahin tu bar se
dekhta hai us ki jaanib pyar se
goya kahta hai ki ai mere sawar
ek din tu aur bhi himmat na haar
han na be-dil ho na raste mein ThiThak
saf sar-chashma hai aage dhar lapak
mujh ko aati hai hawa se bu-e-ab
na-umidi se na kar tu iztirab
unT tu karta hai us ki rahbari
yun bana deta hai rakib ko jari
aaKHirash manzil pe pahunchata hai tu
aur sukhe KHar-o-KHas khata hai tu
sabr se karta hai tai rah-e-daraaz
sach kaha hai tu hai KHushki ka jahaz
al-gharaz tu hai halim o KHush-KHisal
tarbiyat mein chhoTe bachchon ki misal
- Book : Bchchaun ke ismail meruthi (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.