wa saKHKara lakum ma-fissamawati wa ma-fil-arz
Interesting Fact
(عالمی یوم ماحولیات کے موقع پر)
tan-e-nāzuk pe us ke pairahan hai sabz aur dhānī
kahīñ par lājvardī surma.ī aur nuqra.ī zevar
tilā.ī nag jaḌe haiñ jā-ba-jā jin meñ
hathelī qurmuzī rangat
kahīñ par silsila-dar-silsila kohsār
khaḌe haiñ sar uThā.e ek shān-e-be-niyāzī se
kahīñ āġhosh meñ chashme
chhupā hai zindagī kā raaz jin meñ
ḳhutūt-e-dil-rubā aise
ki sayyār-o-savābit kī hadoñ ko nāptā rahrau
bhī rasta bhuul baiThe dam-ba-ḳhud ho kar
nigah uTThī zarā ThiThkī nigāh-e-shauq meñ badlī
palaTne se huī munkir
chalo āvāra-gardī tark karte haiñ
yahīñ par ḳhema-zan ho kar
kisī ke chashm-o-abrū par
matā-e-jāñ ye faanī ziist ham qurbān karte haiñ
magar kuchh pal hī guzre aur vo zīrak nigāheñ
toḌ kar vāraftagī ke sehr ko
va saḳhḳhara kī na.ī tā'bīr meñ mashġhūl haiñ ab
tan-e-nazuk pe us ke pairahan hai sabz aur dhani
kahin par lajwardi surmai aur nuqrai zewar
tilai nag jaDe hain ja-ba-ja jin mein
hatheli qurmuzi rangat
kahin par silsila-dar-silsila kohsar
khaDe hain sar uThae ek shan-e-be-niyazi se
kahin aaghosh mein chashme
chhupa hai zindagi ka raaz jin mein
KHutut-e-dil-ruba aise
ki sayyar-o-sawabit ki hadon ko napta rahrau
bhi rasta bhul baiThe dam-ba-KHud ho kar
nigah uTThi zara ThiThki nigah-e-shauq mein badli
palaTne se hui munkir
chalo aawara-gardi tark karte hain
yahin par KHema-zan ho kar
kisi ke chashm-o-abru par
mata-e-jaan ye fani zist hum qurban karte hain
magar kuchh pal hi guzre aur wo zirak nigahen
toD kar waraftagi ke sehr ko
wa saKHKHara ki nai ta'bir mein mashghul hain ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.