wada
aurat ek tasavvur hai ek ḳhvāb hai
rah rah ke apnī samt khīñchtā hai jo
be-sūd armānoñ meñ nasl-e-ādam ke
phir se ek ubaal jo taarī kare
zamāna-bhar kī pastiyoñ meñ
ek ḳhalal paidā kare
nasīm-e-sub.h kā ek narm jhoñkā
jaise be-qarār dil ko chhū ke
paas hī Thahar jaa.e
rafta-rafta ruuh meñ utar jaa.e aur phir
pārīna guzargāhoñ par bhaTaktī māyūs rūhoñ ko
maazī ke ġhaar kī siyāhī tak mahdūd sab nigāhoñ ko
tā-hadd-e-nazar raushnī hī raushnī nazar aa.e
har nazar ummīd hī se pur nazar aa.e
ye nazm vo lamha hai jis dam
qāfile se dasht meñ bichhḌe musāfir ko
duur kahīñ duur magar kahīñ
ghane daraḳhtoñ ke us taraf
bichhḌe purāne dost kī mānind
ek kos mīnār dikh ga.ī ho
rāstoñ kī qaid se be-fikr bhī sākit bhī magar
har safar ko samt aur ummīd jo 'atā kare
thake haare zehn ko ek aas kā sitārā de
pur-ābla paañv meñ na.ī tāzgī
qadmoñ meñ ek puḳhtagī paidā kare
fariyād nahīñ hai ye ek pukār hai
faqīr kī sadā nahīñ
bhagvān kī niyāz nahīñ
ek bas vā'da hai ye
ek 'azīm insān kā insān se
ek vā'da māñgā hai
ek 'azīm insān ne insān se
ek vā'da jis kā 'amal
insāniyat kī 'azmat kī sanad hogā
aurat ek tasawwur hai ek KHwab hai
rah rah ke apni samt khinchta hai jo
be-sud armanon mein nasl-e-adam ke
phir se ek ubaal jo tari kare
zamana-bhar ki pastiyon mein
ek KHalal paida kare
nasim-e-subh ka ek narm jhonka
jaise be-qarar dil ko chhu ke
pas hi Thahar jae
rafta-rafta ruh mein utar jae aur phir
parina guzargahon par bhaTakti mayus ruhon ko
mazi ke ghaar ki siyahi tak mahdud sab nigahon ko
ta-hadd-e-nazar raushni hi raushni nazar aae
har nazar ummid hi se pur nazar aae
ye nazm wo lamha hai jis dam
qafile se dasht mein bichhDe musafir ko
dur kahin dur magar kahin
ghane daraKHton ke us taraf
bichhDe purane dost ki manind
ek kos minar dikh gai ho
raston ki qaid se be-fikr bhi sakit bhi magar
har safar ko samt aur ummid jo 'ata kare
thake haare zehn ko ek aas ka sitara de
pur-abla panw mein nai tazgi
qadmon mein ek puKHtagi paida kare
fariyaad nahin hai ye ek pukar hai
faqir ki sada nahin
bhagwan ki niyaz nahin
ek bas wa'da hai ye
ek 'azim insan ka insan se
ek wa'da manga hai
ek 'azim insan ne insan se
ek wa'da jis ka 'amal
insaniyat ki 'azmat ki sanad hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.