wada
rakh to lī baat tirī ab na kabhī bolūñgā
ab tasavvur meñ kabhī tujh ko na maiñ gholūñgā
ab na phir paañv kabhī terī taraf jā.eñge
ab na hāthoñ ke irāde tujhe chhū pā.eñge
rakh to lī baat tirī ab na kabhī bolūñgā
ab na hoñToñ pe bilā-vaj.h hañsī chhā.egī
ab na chehre pe koī shakl utar pā.egī
ab na zulfoñ ko tire hāthoñ kī chāhat hogī
ab na ḳhvāboñ ko tire aane kī hasrat hogī
rakh to lī baat tirī ab na kabhī bolūñgā
ab na paimāne meñ tasvīr tirī utregī
ab na dil se koī nāzuk sī ḳhushī guzregī
ab na darvāze kī dastak pe nazar jā.egī
ab na naġhmoñ se mire terī mahak jā.egī
rakh to lī baat tirī ab na kabhī bolūñgā
rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga
ab tasawwur mein kabhi tujh ko na main gholunga
ab na phir panw kabhi teri taraf jaenge
ab na hathon ke irade tujhe chhu paenge
rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga
ab na honTon pe bila-wajh hansi chhaegi
ab na chehre pe koi shakl utar paegi
ab na zulfon ko tere hathon ki chahat hogi
ab na KHwabon ko tere aane ki hasrat hogi
rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga
ab na paimane mein taswir teri utregi
ab na dil se koi nazuk si KHushi guzregi
ab na darwaze ki dastak pe nazar jaegi
ab na naghmon se mere teri mahak jaegi
rakh to li baat teri ab na kabhi bolunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.