wade ki shab
va.ade kī shab
āñgan kī parchhā.īñ se
tum Dar saktī ho
ziine se utarte vaqt
paañv meñ moch bhī aa saktī hai
saheliyāñ hāthoñ meñ
mehñdī rachā saktī haiñ
bahāne bahut kuchh ho sakte haiñ
merā dil patthar nahīñ
dard bhī ho saktā hai
wade ki shab
aangan ki parchhain se
tum Dar sakti ho
zine se utarte waqt
panw mein moch bhi aa sakti hai
saheliyan hathon mein
mehndi racha sakti hain
bahane bahut kuchh ho sakte hain
mera dil patthar nahin
dard bhi ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.