wadi-e-nil
jamāl-e-marg-āfrīñ! ye shab merī zindagī hai
nichoḌ de is ke chand lamhoñ kī ishratoñ meñ
vo mai vo nashsha ki sāġhar-e-māh-e-visāl meñ hai
vo mai ki tere jamāl meñ hai
visāl meñ hai
visāl! terā visāl vo sho.ala-e-ajal hai
ki jis meñ jal kar ka.ī patiñge abad kī manzil ko pā chuke haiñ
abad kī manzil!
sehr kī pahlī kiran vo nāgan
ki mere siine se āḳhirī saañs ban ke palTegī aa mirī jaañ!
jamāl-e-marg-āfrīñ! ye shab merī zindagī hai
mere laboñ ne vo lab bhī chūme haiñ jin meñ marg-e-girāñ nahīñ thī
vo phuul se lab ki jin kī tahdār pattiyoñ meñ
tamāzat-e-bāda-e-vafā thī
mire javāñ-sāl bāzuoñ ne
dhaḌakte marmar kī un chaTānoñ se ras nichoḌā hai zindagī kā
jinheñ gumāñ thā ki mere pahlū meñ dam nikalnā hī zindagī hai
mire hī siine pe jāgtī haiñ abhī vo rāteñ
ki jin meñ ubhre haiñ āftāb-e-jamāl merī masarratoñ ke
vo āftāb-e-jamāl jo kal sahar kī pahlī kiran ke Dasne se
mere ham-rāh jal bujheñge
tire tabassum kī lau ubhartī hī jā rahī hai
tujhe nazar aa rahī hai shāyad vo ziist jo laash ban ke taḌpegī
kal sahar ko
magar maiñ kuchh aur dekhtā huuñ
agar maiñ ye shab guzār detā gurisna sheroñ ke jañgaloñ meñ
jahāñ har ik lahza maut muñh phaaḌ kar jhapaTtī hai
bebasī par
agar maiñ ye shab guzār detā kisī samundar ke sard siine kī dhoñknī par
jahāñ har ek lahza maut muñh phaaḌ kar jhapaTtī hai
bebasī par
agar maiñ ye shab guzār detā kisī ġham-e-marg-āfrīñ meñ
ki jis ke changul meñ lahza lahza lahū Tapaktā hai aarzū kā
ajab na thā aaj shab agar merā koī dushman
mire badan se ye nok-e-ḳhanjar nikāl detā vo ḳhuuñ jo ab merī zindagī hai
jo ab tire paikar-e-masarrat kī vādiyoñ meñ
mirī haqīqat kā rāz-dāñ hai
qubūl hai mujh ko aaj kī shab sahar hai jis kī abad kī manzil
jamāl-e-marg āfrīñ ye shab merī zindagī hai
mirā muqaddar ki aaj kī shab hai mujh ko hāsil ye terā paikar
mirā muqaddar ki maiñ ne ḳhud maut ko pukārā hai terī ḳhātir
mirā muqaddar ki maiñ huuñ vo maut kā musāfir
jo apnī manzil pe aa gayā hai tire shabistāñ meñ ḳhud Thahar kar
tire laboñ se hayāt pā kar
tire jamāl-e-hayāt-parvar se lau lagā kar
tirī nigāhoñ kī gahrī jhīloñ meñ tair kar, mish.aleñ jalā kar
gudāz paikar kī reshmī chilmaneñ uThā kar
dhaḌakte dil meñ tarāne bo kar zamāne lā kar
azal abad ko sameT kar, be-karāñ banā kar
tire badan kī latāfatoñ meñ masarrat-e-zindagī milā kar
tire lahū meñ sharāre bhar kar harārat-e-jāvedāñ basā kar
tire ḳhumistān-e-dilbarī ko jahāñ meñ ik dāstāñ banā kar
tujhe ajal se qarīb lā kar
haqīqat-e-zindagī dikhā kar
ki maiñ huuñ vo maut kā musāfir
tire shabistāñ ke chor darvāze se guzar kar
jo apnī manzil pe aa gayā hai
vo log jo ro rahe haiñ mujh ko
ki maiñ ne ḳhud maut ko pukārā hai terī ḳhātir
vo log kyā jāneñ zindagī ko
unheñ ḳhabar kyā ki maut har lahza un kī hastī ko khā rahī hai
unheñ ḳhabar kyā ki zindagī kyā hai maiñ samajhtā huuñ zindagī ko
ki aaj kī shab ye zindagī merī zindagī hai
ye zindagī hai mirī jise maiñ ne aaj kī shab
tire masarrat-kade meñ lā kar
abad se ham-dosh kar diyā hai
ajal ko ḳhāmosh kar diyā hai
thirak rahā hai tirā badan lazzat-e-tarab se
chamak rahī haiñ tirī nigāheñ ḳhumār-e-shab se
uchak uchak kar sahar mujhe dekhne lagī hai
sahar kā thā intizār kab se
jamal-e-marg-afrin! ye shab meri zindagi hai
nichoD de is ke chand lamhon ki ishraton mein
wo mai wo nashsha ki saghar-e-mah-e-visal mein hai
wo mai ki tere jamal mein hai
visal mein hai
visal! tera visal wo shoala-e-ajal hai
ki jis mein jal kar kai patinge abad ki manzil ko pa chuke hain
abad ki manzil!
sehr ki pahli kiran wo nagan
ki mere sine se aaKHiri sans ban ke palTegi aa meri jaan!
jamal-e-marg-afrin! ye shab meri zindagi hai
mere labon ne wo lab bhi chume hain jin mein marg-e-giran nahin thi
wo phul se lab ki jin ki tahdar pattiyon mein
tamazat-e-baada-e-wafa thi
mere jawan-sal bazuon ne
dhaDakte marmar ki un chaTanon se ras nichoDa hai zindagi ka
jinhen guman tha ki mere pahlu mein dam nikalna hi zindagi hai
mere hi sine pe jagti hain abhi wo raaten
ki jin mein ubhre hain aaftab-e-jamal meri masarraton ke
wo aaftab-e-jamal jo kal sahar ki pahli kiran ke Dasne se
mere ham-rah jal bujhenge
tere tabassum ki lau ubharti hi ja rahi hai
tujhe nazar aa rahi hai shayad wo zist jo lash ban ke taDpegi
kal sahar ko
magar main kuchh aur dekhta hun
agar main ye shab guzar deta gurisna sheron ke jangalon mein
jahan har ek lahza maut munh phaD kar jhapaTti hai
bebasi par
agar main ye shab guzar deta kisi samundar ke sard sine ki dhonkni par
jahan har ek lahza maut munh phaD kar jhapaTti hai
bebasi par
agar main ye shab guzar deta kisi gham-e-marg-afrin mein
ki jis ke changul mein lahza lahza lahu Tapakta hai aarzu ka
ajab na tha aaj shab agar mera koi dushman
mere badan se ye nok-e-KHanjar nikal deta wo KHun jo ab meri zindagi hai
jo ab tere paikar-e-masarrat ki wadiyon mein
meri haqiqat ka raaz-dan hai
qubul hai mujh ko aaj ki shab sahar hai jis ki abad ki manzil
jamal-e-marg aafrin ye shab meri zindagi hai
mera muqaddar ki aaj ki shab hai mujh ko hasil ye tera paikar
mera muqaddar ki main ne KHud maut ko pukara hai teri KHatir
mera muqaddar ki main hun wo maut ka musafir
jo apni manzil pe aa gaya hai tere shabistan mein KHud Thahar kar
tere labon se hayat pa kar
tere jamal-e-hayat-parwar se lau laga kar
teri nigahon ki gahri jhilon mein tair kar, mishalen jala kar
gudaz paikar ki reshmi chilmanen uTha kar
dhaDakte dil mein tarane bo kar zamane la kar
azal abad ko sameT kar, be-karan bana kar
tere badan ki latafaton mein masarrat-e-zindagi mila kar
tere lahu mein sharare bhar kar hararat-e-jawedan basa kar
tere KHumistan-e-dilbari ko jahan mein ek dastan bana kar
tujhe ajal se qarib la kar
haqiqat-e-zindagi dikha kar
ki main hun wo maut ka musafir
tere shabistan ke chor darwaze se guzar kar
jo apni manzil pe aa gaya hai
wo log jo ro rahe hain mujh ko
ki main ne KHud maut ko pukara hai teri KHatir
wo log kya jaanen zindagi ko
unhen KHabar kya ki maut har lahza un ki hasti ko kha rahi hai
unhen KHabar kya ki zindagi kya hai main samajhta hun zindagi ko
ki aaj ki shab ye zindagi meri zindagi hai
ye zindagi hai meri jise main ne aaj ki shab
tere masarrat-kade mein la kar
abad se ham-dosh kar diya hai
ajal ko KHamosh kar diya hai
thirak raha hai tera badan lazzat-e-tarab se
chamak rahi hain teri nigahen KHumar-e-shab se
uchak uchak kar sahar mujhe dekhne lagi hai
sahar ka tha intizar kab se
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 94)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.