wadi-e-sindh
sindh kī vaadī pe hai kaalī ghaTā chhā.ī huī
burqa oḌhe ik dulhan baiThī hai sharmā.ī huī
muntazir bārish ke haiñ makkī ke aur shālī ke khet
tishnagī se ḳhosha kī sūrat hai murjhā.ī huī
aaj ganderbal huā hai us kā manzūr-e-nazar
us ke sar par kyā ghaTā phirtī hai mañDlā.ī huī
sindh ke naale kī aahoñ kā dhuāñ shāyad uThā
kaisī tārīkī hai sat.h-e-āb par chhā.ī huī
qāsid-e-abr aa rahā hai le ke haañ paiġhām-e-faiz
bārgāh-e-ezdī meñ kis kī shunavā.ī hui
sū-e-mashriq hai sar-e-kohsār par bārish kā zor
rahmat-e-bārī hai goyā josh par aa.ī huī
ai 'humāyūñ' faiz-e-bārish se khule Dal ke kañval
kyuuñ tire dil kī kalī hai aaj murjhā.ī huī
sindh ki wadi pe hai kali ghaTa chhai hui
burqa oDhe ek dulhan baiThi hai sharmai hui
muntazir barish ke hain makki ke aur shaali ke khet
tishnagi se KHosha ki surat hai murjhai hui
aaj ganderbal hua hai us ka manzur-e-nazar
us ke sar par kya ghaTa phirti hai manDlai hui
sindh ke nale ki aahon ka dhuan shayad uTha
kaisi tariki hai sath-e-ab par chhai hui
qasid-e-abr aa raha hai le ke han paigham-e-faiz
bargah-e-ezdi mein kis ki shunawai hui
su-e-mashriq hai sar-e-kohsar par barish ka zor
rahmat-e-bari hai goya josh par aai hui
ai 'humayun' faiz-e-barish se khule Dal ke kanwal
kyun tere dil ki kali hai aaj murjhai hui
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 355)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.