wahima
maiñ apnā sar-burīda jism le kar chal paḌā huuñ
mire ik haath meñ sar hai
maiñ apne sar meñ huuñ yā jism meñ huuñ
kabhī maiñ sar meñ baiThā sochtā huuñ
ki maiñ be-jism rah kar
kis tarah pahchān qaa.em rakh sakūñgā
mirā honā to mere jism se hai
kabhī maiñ ḳhud ko apne jism meñ mahsūs hotā huuñ
to phir sar yaad aatā hai
magar be-sar huuñ yā be-jism huuñ
ye fikr ġhā.eb hai
kabhī sar se mire āvāz aatī hai
ki maiñ murda huuñ kyūñki jism merā mar gayā hai
magar ye jism merā boltā hai
ki maiñ zinda huuñ bas ik sar gayā hai
main apna sar-burida jism le kar chal paDa hun
mere ek hath mein sar hai
main apne sar mein hun ya jism mein hun
kabhi main sar mein baiTha sochta hun
ki main be-jism rah kar
kis tarah pahchan qaem rakh sakunga
mera hona to mere jism se hai
kabhi main KHud ko apne jism mein mahsus hota hun
to phir sar yaad aata hai
magar be-sar hun ya be-jism hun
ye fikr ghaeb hai
kabhi sar se mere aawaz aati hai
ki main murda hun kyunki jism mera mar gaya hai
magar ye jism mera bolta hai
ki main zinda hun bas ek sar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.