wahima
niiñd jab nahīñ aatī
āsmān ke taare
loriyāñ sunāte haiñ
niiñd jab nahīñ aatī
ye gumān hotā hai
paas hī kahīñ jaise
chūḌiyāñ khanaktī hoñ
aur ek sargoshī yuuñ sunā.ī detī hai
jaise koī kahtā hai
tum se milne aa.e haiñ ab to jaag jaao tum
niiñd jab nahīñ aatī
āsmān ke taare
loriyāñ sunāte haiñ
nind jab nahin aati
aasman ke tare
loriyan sunate hain
nind jab nahin aati
ye guman hota hai
pas hi kahin jaise
chuDiyan khanakti hon
aur ek sargoshi yun sunai deti hai
jaise koi kahta hai
tum se milne aae hain ab to jag jao tum
nind jab nahin aati
aasman ke tare
loriyan sunate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.