wahima
zarā dekho
mirī āñkhoñ ke āñgan meñ
kahīñ kuchh ḳhvāb ke manzar
umīdoñ kī harī beleñ
tamannāoñ kī rupahlī
chamaktī dhuup to phailī nahīñ hai
yā kahīñ koī
ye banjar sā ḳharāba hai
jahāñ shub.hāt ke aaseb
baste haiñ!
zara dekho
meri aankhon ke aangan mein
kahin kuchh KHwab ke manzar
umidon ki hari belen
tamannaon ki rupahli
chamakti dhup to phaili nahin hai
ya kahin koi
ye banjar sa KHaraba hai
jahan shubhat ke aaseb
baste hain!
- Book : Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 91)
- Author : Yousuf Taqi
- Publication : Yousuf Taqi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.