wajib-ul-qatl
māh-e-kāmil hairat kī tasvīr ho jaise
hadd-e-chāh-e-naḳhshab ālamgīr ho jaise
holī ke rañgoñ kā dhoka
chehroñ par tahrīr ho jaise
bhīgī raat meñ āb-e-shar-añgez ke maare
mast sitāre
apnī chāleñ chuuk rahe haiñ
dahlīzoñ par pighlī sham.eñ
niile bādal ke parde meñ ojhal hote
aañkh ke taare DhūñD rahī haiñ
ā.īnoñ se nālāñ naqsh se aarī chehre
jazboñ ke uqdoñ meñ uljhe
mūrtiyoñ kī maalā japte
kaan meñ halqe Daale
gerve bādal pahne naach rahe haiñ
laal tilak meñ aañkh ugaa.e
sham.eñ thāme chob uThā.e
yak-rañgī dastāreñ jubbe gumbad oḌhe
sadiyoñ kī dīvār pe rote
raqs-e-vahshat kā zahrāb uñDel rahe haiñ
nā-bīnā.ī ke paiġhambar
rañg rachātī
maut kī bolī bol rahe haiñ
chīḳh rahe haiñ
in ke pairāhan ko dekho
chehre dekho āñkheñ dekho
dekho sab hāthoñ ko dekho
jis par rañg nazar aa jaa.e
jaan se jaa.e
lekin in ko kaun batā.e
sab ke haath rañge haiñ
sab ke dāman tar haiñ
āñkheñ ḳhūnīñ haiñ chehroñ par ḳhauf likhā hai
lekin be-nūrī meñ
sab tahrīreñ āñkhoñ se ojhal haiñ
rāh-e-adam par naqsh qadam ke DhūñDne vaalā
sāyoñ kī bohtāt meñ sahmā
dahshat kī har taal pe raqsāñ
soch rahā hai
vaqt ke pairoñ ko daldal se kaun nikāle
shab kī oT se jaltā sūraj
apne sar par kaun uThā.e
rañgoñ kī bauchhār meñ jaane
kis chehre par
kis ko rañg nazar aa jaa.e
dev kā saaya agle pal kis ko khā jaa.e
kyā ma.alūm
ki apnī baarī kab aa jaa.e
mah-e-kaamil hairat ki taswir ho jaise
hadd-e-chah-e-naKHshab aalamgir ho jaise
holi ke rangon ka dhoka
chehron par tahrir ho jaise
bhigi raat mein aab-e-shar-angez ke mare
mast sitare
apni chaalen chuk rahe hain
dahlizon par pighli shamen
nile baadal ke parde mein ojhal hote
aankh ke tare DhunD rahi hain
aainon se nalan naqsh se aari chehre
jazbon ke uqdon mein uljhe
murtiyon ki mala japte
kan mein halqe Dale
gerwe baadal pahne nach rahe hain
lal tilak mein aankh ugae
shamen thame chob uThae
yak-rangi dastaren jubbe gumbad oDhe
sadiyon ki diwar pe rote
raqs-e-wahshat ka zahrab unDel rahe hain
na-binai ke paighambar
rang rachati
maut ki boli bol rahe hain
chiKH rahe hain
in ke pairahan ko dekho
chehre dekho aankhen dekho
dekho sab hathon ko dekho
jis par rang nazar aa jae
jaan se jae
lekin in ko kaun batae
sab ke hath range hain
sab ke daman tar hain
aankhen KHunin hain chehron par KHauf likha hai
lekin be-nuri mein
sab tahriren aankhon se ojhal hain
rah-e-adam par naqsh qadam ke DhunDne wala
sayon ki bohtat mein sahma
dahshat ki har tal pe raqsan
soch raha hai
waqt ke pairon ko daldal se kaun nikale
shab ki oT se jalta suraj
apne sar par kaun uThae
rangon ki bauchhaar mein jaane
kis chehre par
kis ko rang nazar aa jae
dew ka saya agle pal kis ko kha jae
kya malum
ki apni bari kab aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.