khaḌī raho
isī jagah isī tarah khaḌī raho
safed barf kī chaTān qatra qatra gal rahī hai
galne do
siyāh aur tavīl raat dhīre dhare Dhal rahī hai
Dhalne do
mirī nigāh ke hisār meñ yūñhī khaḌī raho
maiñ tum se aur duur ho rahā huuñ mujh se mat Daro
in uñgliyoñ pe os ke nishān the jo miT ga.e
laboñ pe ek ajnabī kā naam thā jo bujh gayā
hiran kī aañkh ḳhauf kī chamak se bhī tahī huī
darinde jañgaloñ ko chhoḌ kar kahīñ chale ga.e
khaḌī raho
isī jagah isī tarah khaḌī raho
khaDi raho
isi jagah isi tarah khaDi raho
safed barf ki chaTan qatra qatra gal rahi hai
galne do
siyah aur tawil raat dhire dhare Dhal rahi hai
Dhalne do
meri nigah ke hisar mein yunhi khaDi raho
main tum se aur dur ho raha hun mujh se mat Daro
in ungliyon pe os ke nishan the jo miT gae
labon pe ek ajnabi ka nam tha jo bujh gaya
hiran ki aankh KHauf ki chamak se bhi tahi hui
darinde jangalon ko chhoD kar kahin chale gae
khaDi raho
isi jagah isi tarah khaDi raho
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 309)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.