wapsi
aziyyat aur is sukūñ
donoñ ko hī dil khol ke maiñ ne luTāyā hai
hazāroñ baar aisā bhī huā hai
dostoñ kī rahnumā.ī meñ
phirā huuñ maarā maarā
shahr kī ābād saḌkoñ par
kabhī vīrān galiyoñ meñ
kabhī sahrāoñ kī bhī ḳhaak chhānī hai
magar is baar jaane kyā huā mujh ko
numā.ish kī dukānoñ meñ
sajā kar ḳhud ko ghar vāpas chalā aayā
abhī darvāza maiñ ne khaTkhaTāyā thā
ki ghar vāloñ ne kīna-tūz nazroñ se mujhe dekhā
jab un kī āñkhoñ meñ,
koī ramaq pahchān kī maiñ ne nahīñ paa.ī
to ulTe pairoñ vāpas lauT aayā huuñ
aur ab ye sochtā huuñ
dostoñ kī rahnumā.ī meñ
unhīñ galiyoñ meñ sahrāoñ meñ jā kar
apne qadmoñ ke nishāñ DhūñDūñ
aziyyat aur is sukun
donon ko hi dil khol ke main ne luTaya hai
hazaron bar aisa bhi hua hai
doston ki rahnumai mein
phira hun mara mara
shahr ki aabaad saDkon par
kabhi viran galiyon mein
kabhi sahraon ki bhi KHak chhani hai
magar is bar jaane kya hua mujh ko
numaish ki dukanon mein
saja kar KHud ko ghar wapas chala aaya
abhi darwaza main ne khaTkhaTaya tha
ki ghar walon ne kina-tuz nazron se mujhe dekha
jab un ki aankhon mein,
koi ramaq pahchan ki main ne nahin pai
to ulTe pairon wapas lauT aaya hun
aur ab ye sochta hun
doston ki rahnumai mein
unhin galiyon mein sahraon mein ja kar
apne qadmon ke nishan DhunDun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.