wapsi
maut kī pur-sukūt bastī ko
de ke ik zindagī kā nazrāna
log apne gharoñ ko lauTe haiñ
sab ke chehre haiñ fart-e-ġham se niDhāl
sab kī āñhkeñ chhalak ga.ī haiñ aaj
phir bhī sarhad meñ shahr kī aa kar
hañste bachchoñ ko kheltā pā kar
dekh kar zindagī ke hañgāme
aisā mahsūs kar rahe haiñ sab
jaise afsurdagī ke sahrā se
koī āvāz de ke kahtā ho
maut ke intizār meñ jiinā
maut se bhī baḌī aziyyat hai
zindagī laakh aarzī ho magar
zindagī jāgtī haqīqat hai
maut ki pur-sukut basti ko
de ke ek zindagi ka nazrana
log apne gharon ko lauTe hain
sab ke chehre hain fart-e-gham se niDhaal
sab ki aanhken chhalak gai hain aaj
phir bhi sarhad mein shahr ki aa kar
hanste bachchon ko khelta pa kar
dekh kar zindagi ke hangame
aisa mahsus kar rahe hain sab
jaise afsurdagi ke sahra se
koi aawaz de ke kahta ho
maut ke intizar mein jina
maut se bhi baDi aziyyat hai
zindagi lakh aarzi ho magar
zindagi jagti haqiqat hai
- Book : Khla Ki Dhund Men Ham Chal Rahe Hain (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.