wapsi
Dhalte sūraj kā zarfishāñ tābūt
le chale maġhribī ufuq ke kahār
aur darmāñda rahguzāroñ par
jam gayā vaqt sūrat-e-ashjār
be-karāñ be-amāñ ḳhalāoñ tak
chīḳhtī jaatī haiñ abābīleñ
parbatoñ ke muhīb chehroñ se
Dar ke ḳhāmosh ho ga.iiñ jhīleñ
har khañDar meñ haiñ bhuut mahv-e-raqs
kāsa-e-sar kī le ke qindīleñ
aur duur is fasīl-e-shām se duur
chāñd kā intizār hai tum ko
ḳhud-kushī jism-o-jāñ kī kar ke bhī
ziist kā e'tibār hai tum ko
be-nafas be-ridā-e-tār-e-hayāt
ham barahna hayūle kyā ghūmeñ
muñh khulī qabreñ ro rahī hoñgī
aao qabroñ meñ apnī lauT chaleñ
Dhalte suraj ka zarfishan tabut
le chale maghribi ufuq ke kahaar
aur darmanda rahguzaron par
jam gaya waqt surat-e-ashjar
be-karan be-aman KHalaon tak
chiKHti jati hain ababilen
parbaton ke muhib chehron se
Dar ke KHamosh ho gain jhilen
har khanDar mein hain bhut mahw-e-raqs
kasa-e-sar ki le ke qindilen
aur dur is fasil-e-sham se dur
chand ka intizar hai tum ko
KHud-kushi jism-o-jaan ki kar ke bhi
zist ka e'tibar hai tum ko
be-nafas be-rida-e-tar-e-hayat
hum barahna hayule kya ghumen
munh khuli qabren ro rahi hongi
aao qabron mein apni lauT chalen
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 104)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.