wapsi
dīvāreñ kaalī thiiñ
jin par makḌī ne jaale taane the
sofa kursī par dhuul jamī thī
darvāzoñ ke parde
gard meñ uljhe TuuT rahe the
aur ik rauzan par tinkoñ kī gaThrī rakkhī thī
farsh jagah jagah se ukhḌā thā
mez pe rakkhī botal khulī paḌī thī
rack pe rakkhe aḳhbāroñ ke banDal aur risāle
dhuul kī chādar oḌhe the
cigarette ke ḳhālī packet
gande kapḌe
chalk ke TukḌe
ik jā kone meñ satreñ khīñch rahe the
aur vo gum-sum soch rahā thā
soch rahā thā
diwaren kali thin
jin par makDi ne jale tane the
sofa kursi par dhul jami thi
darwazon ke parde
gard mein uljhe TuT rahe the
aur ek rauzan par tinkon ki gaThri rakkhi thi
farsh jagah jagah se ukhDa tha
mez pe rakkhi botal khuli paDi thi
rack pe rakkhe aKHbaron ke banDal aur risale
dhul ki chadar oDhe the
cigarette ke KHali packet
gande kapDe
chalk ke TukDe
ek ja kone mein satren khinch rahe the
aur wo gum-sum soch raha tha
soch raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.