wapsi
maiñ ne sochā tumheñ muddat se nahīñ dekhā hai
dil bahut din se hai bechain chalūñ ghar ho aa.uuñ
duur se ghar nazar aayā raushan
saarī bastī meñ milā ek mirā ghar be-ḳhvāb
paas pahuñchā to vo dekhā jo nigāhoñ meñ mirī ghuum rahā hai ab tak
raushan kamre ke andar!
aur dahlīz pe tum!
sun ke shāyad mirī chaap
tum nikal aa.ī thiiñ bijlī kī tarah
aur vahīñ ruk sī ga.ī thīñ!
der tak!
paañv dahlīz pe chaukhaT pe rakhe donoñ haath
baal bikhrā.e hue shānoñ par
raushnī pusht pe haale kī tarah
saañs kī āmad-o-shud thī na koī jumbish-e-jism
jaise tasvīr lagī ho
jaise aasan pe khaḌī ho devī
maiñ ne sochā abhī tum ne mujhe pahchānā nahīñ
bas isī soch meñ le kar tumheñ andar aayā
paas biThlā ke kiyā yūñhī kisī baat kā zikr
tum ne bāteñ to bahut kiiñ magar un bātoñ meñ
koī vābastagi-e-dil
koī mānūs ishāra
lab pe iz.hār-e-ḳhushī
na koī ġham kī lakīr
are kuchh bhī to na thā
na vo hañsnā, na vo ronā, na shikāyat, na gila
na vo raġhbat kī koī chiiz pakāne kā ḳhayāl
na darī lā ke bichhānā na vo āñgan kī lipā.ī kī koī baat
na nigāhoñ meñ ye ehsās ki ham tum donoñ
haiñ koī biis baras se ik saath
laakh koshish pe bhī tum ne mujhe pahchānā nahīñ
maiñ ne jaanā tumheñ maiñ ne bhī nahīñ pahchānā
ek ishāre meñ zamāna hī badal jaatā hai
silsila uns o rifāqat kā koī aaj bhī hai
par ye hai aur koī
jis se bāñdhā hai nayā rishta-e-zīst
maiñ bhī huuñ aur koii, jis ke saath
tum bhī hañs-bol ke rah letī ho
vo bhī thī aur koī
jo vahīñ ruk ga.ī us chaukhaT par
jaise tasvīr lagī ho
jaise aasan pe khaḌī ho devī
main ne socha tumhein muddat se nahin dekha hai
dil bahut din se hai bechain chalun ghar ho aaun
dur se ghar nazar aaya raushan
sari basti mein mila ek mera ghar be-KHwab
pas pahuncha to wo dekha jo nigahon mein meri ghum raha hai ab tak
raushan kamre ke andar!
aur dahliz pe tum!
sun ke shayad meri chap
tum nikal aai thin bijli ki tarah
aur wahin ruk si gai thin!
der tak!
panw dahliz pe chaukhaT pe rakhe donon hath
baal bikhrae hue shanon par
raushni pusht pe haale ki tarah
sans ki aamad-o-shud thi na koi jumbish-e-jism
jaise taswir lagi ho
jaise aasan pe khaDi ho dewi
main ne socha abhi tum ne mujhe pahchana nahin
bas isi soch mein le kar tumhein andar aaya
pas biThla ke kiya yunhi kisi baat ka zikr
tum ne baaten to bahut kin magar un baaton mein
koi wabastagi-e-dil
koi manus ishaara
lab pe izhaar-e-KHushi
na koi gham ki lakir
are kuchh bhi to na tha
na wo hansna, na wo rona, na shikayat, na gila
na wo raghbat ki koi chiz pakane ka KHayal
na dari la ke bichhana na wo aangan ki lipai ki koi baat
na nigahon mein ye ehsas ki hum tum donon
hain koi bis baras se ek sath
lakh koshish pe bhi tum ne mujhe pahchana nahin
main ne jaana tumhein main ne bhi nahin pahchana
ek ishaare mein zamana hi badal jata hai
silsila uns o rifaqat ka koi aaj bhi hai
par ye hai aur koi
jis se bandha hai naya rishta-e-zist
main bhi hun aur koi, jis ke sath
tum bhi hans-bol ke rah leti ho
wo bhi thi aur koi
jo wahin ruk gai us chaukhaT par
jaise taswir lagi ho
jaise aasan pe khaDi ho dewi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.