wapsi
ham jab jangal se nikal kar
bastī meñ aa.e
to apne nange badan dekh kar
sharmā ga.e
aur phir ham ne tauzīh kī
ḳhud ko Dhako
ek-dūje se ḳhud ko chhupāte phiro
aur agar
jangal kī taraf
lauTnā ho kabhī
to suno
hai ek rāsta
jo khultā hai
band darvāze ke pīchhe
hum jab jangal se nikal kar
basti mein aae
to apne nange badan dekh kar
sharma gae
aur phir hum ne tauzih ki
KHud ko Dhako
ek-duje se KHud ko chhupate phiro
aur agar
jangal ki taraf
lauTna ho kabhi
to suno
hai ek rasta
jo khulta hai
band darwaze ke pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.