wapsi
ḳhāmosh hai guñg hai siyah-posh
maazī ke mahal kī kohna dīvār
TuuTā nahīñ be-hisī kā pindār
chhoḌā thā usī mahal ke pīchhe
ahbāb ko sirf naġhma-o-sāz
rakhte the sharāratoñ kī buniyād
hotā thā mohabbatoñ kā āġhāz
lauTā huuñ to mahfileñ haiñ ḳhāmosh
aatī nahīñ qahqahoñ kī āvāz
zindāñ kī hadoñ meñ kho ga.e haiñ
dīvāne bahal ke so ga.e haiñ
darvāzoñ pe de rahā huuñ āvāz
ḳhāmosh hai guñg hai siyah-posh
maazī ke mahal kī kohna dīvār
phailā.e hue zamīñ hai āġhosh
tārīkī meñ DhūñDhtā huuñ rāheñ
sūraj ko taras ga.iiñ nigāheñ
KHamosh hai gung hai siyah-posh
mazi ke mahal ki kohna diwar
TuTa nahin be-hisi ka pindar
chhoDa tha usi mahal ke pichhe
ahbab ko sirf naghma-o-saz
rakhte the shararaton ki buniyaad
hota tha mohabbaton ka aaghaz
lauTa hun to mahfilen hain KHamosh
aati nahin qahqahon ki aawaz
zindan ki hadon mein kho gae hain
diwane bahal ke so gae hain
darwazon pe de raha hun aawaz
KHamosh hai gung hai siyah-posh
mazi ke mahal ki kohna diwar
phailae hue zamin hai aaghosh
tariki mein DhunDhta hun rahen
suraj ko taras gain nigahen
- Book : Kulliyat-e-Akhtaruliman (Pg. 168)
- Author : Baidar Bakht
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.