vo barfānī raat
bādām aḳhroT aur sattū
sarmā kā shahd aur saag kī ḳhushbū
aur ik lok kahānī meñ gum
aag ke gird
maiñ aur tum
aao chaleñ
charḳhe kī āvāz meñ Duubī
us bastī meñ
shaam jahāñ par aise utre
jaise kisī bīmār badan meñ
jīvan-ras
barf kī rut kā pahlā din
kitnā safed aur āzurda hai
dariyā apnī majbūrī kā gadlā paanī
aur hamārī nādārī ke
aañsū apnī pusht pe rakkhe reñg rahā hai
aur saḌak par
barsoñ purāne log nikal kar chalte haiñ
un kī āñkheñ
ek purānī yaad se bojhal
aur chehroñ par
koī gahrā ḳhauf jamā hai
dhānī ghaas ke jūtoñ meñ ye
apne jalte paañv pahan kar
aur hoñToñ par
hijr ke gītoñ ko sulgā kar
na.e safar par nikle haiñ
aao chaleñ
un galiyoñ kī dushvārī meñ
jo punjabi aur haajī piir ke andar khultī haiñ
jin ke paar
ek alaav sā jaltā hai
jin meñ chalne vaalā jaise
gahre ḳhvāb meñ chaltā hai
aao chaleñ
aur chal kar dekheñ
jism ke daaġh aur ruuh ke sog
aag jaloñ ne kab dekhe haiñ
barf meñ jalte log
log
jinhoñ ne
barf-rutoñ kā virsa paal ke
kis jokhim se
māh-o-sāl ke
andar rahnā siikh liyā thā
un par kaisā vaqt paḌā hai
aao chaleñ aur
ek savāl kī sham.a jalā kar
us barfānī raat meñ utreñ
wo barfani raat
baadam aKHroT aur sattu
sarma ka shahd aur sag ki KHushbu
aur ek lok kahani mein gum
aag ke gird
main aur tum
aao chalen
charKHe ki aawaz mein Dubi
us basti mein
sham jahan par aise utre
jaise kisi bimar badan mein
jiwan-ras
barf ki rut ka pahla din
kitna safed aur aazurda hai
dariya apni majburi ka gadla pani
aur hamari nadari ke
aansu apni pusht pe rakkhe reng raha hai
aur saDak par
barson purane log nikal kar chalte hain
un ki aankhen
ek purani yaad se bojhal
aur chehron par
koi gahra KHauf jama hai
dhani ghas ke juton mein ye
apne jalte panw pahan kar
aur honTon par
hijr ke giton ko sulga kar
nae safar par nikle hain
aao chalen
un galiyon ki dushwari mein
jo punjabi aur haji pir ke andar khulti hain
jin ke par
ek alaw sa jalta hai
jin mein chalne wala jaise
gahre KHwab mein chalta hai
aao chalen
aur chal kar dekhen
jism ke dagh aur ruh ke sog
aag jalon ne kab dekhe hain
barf mein jalte log
log
jinhon ne
barf-ruton ka wirsa pal ke
kis jokhim se
mah-o-sal ke
andar rahna sikh liya tha
un par kaisa waqt paDa hai
aao chalen aur
ek sawal ki shama jala kar
us barfani raat mein utren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.