wapsi mumkin nahin
aziim qātil ga.e zamānoñ ke maḳhfī auhām ke shikanjoñ meñ
sāda-lauhī ke sikka sikka bikā.ū gāhak
sisaktī ḳhilqat lahū meñ lat-pat
uqābī panjoñ meñ ābrūeñ taḌap rahī haiñ
sazā ke mehvar se TuuT girnā
shadīd mushkil
ga.e yagānoñ ke jubbe ab tak lahū meñ tar haiñ
shanās-nāme gale meñ laTkā.e phirne vaale
talāsh-e-zar meñ
badan ghumātī havā ke jhakkaḌ se girne vaale
musāfiroñ ke qadam
gadā.ī ke ḳhārzāroñ meñ
zaḳhm-ḳhurda
shikam-siparda
ġhalīz saa.il
ga.e savāroñ kī baḳhshishoñ se
hatheliyoñ pe larazte kaase
musībatoñ kī kasīf ḳhairāt se
labālab bhare hue haiñ
har ek jānib hamāre kūchoñ meñ
haDDiyoñ se bane makānoñ ke bām-o-dar munhadim
fasīloñ pe dūrbīneñ liye
muqābil
ga.e shikāroñ se utre
majbūriyoñ ke aajar
la.iim saudāgaroñ ke Tole
hamāre malboñ ke bār-dāne havas ke bāToñ se tolte haiñ
hamārī khāloñ kā ḳhasta resham gadhoñ pe laade
amiir ḳhittoñ meñ bechte haiñ
malūl bastī meñ uryāñ lāsheñ
girī hai jin pe azaab ohdoñ kī
bhārī sil
ga.e Thikānoñ pe ulluoñ ke udaas maskan
kabūtaroñ ke vo aalne haiñ ki jin meñ sannāTe bolte haiñ
saudāgaro āfiyat ke parcham khule
shikāre palaT bhī aa.e
magar ye socho ki mauj dar mauj tangnāoñ meñ
koh-paikar javār-bhāTe
musāfirat meñ tamām ghāTe
zalīl ghāyal
ga.e musāfir ki jin ke thailoñ meñ zar bañdhā thā
tahoñ kī qabroñ meñ jā chhupe haiñ
lahīm whaloñ ne un ke jismoñ ko noch Daalā
azim qatil gae zamanon ke maKHfi auham ke shikanjon mein
sada-lauhi ke sikka sikka bikau gahak
sisakti KHilqat lahu mein lat-pat
uqabi panjon mein aabruen taDap rahi hain
saza ke mehwar se TuT girna
shadid mushkil
gae yaganon ke jubbe ab tak lahu mein tar hain
shanas-name gale mein laTkae phirne wale
talash-e-zar mein
badan ghumati hawa ke jhakkaD se girne wale
musafiron ke qadam
gadai ke KHarzaron mein
zaKHm-KHurda
shikam-siparda
ghaliz sail
gae sawaron ki baKHshishon se
hatheliyon pe larazte kase
musibaton ki kasif KHairaat se
labaalab bhare hue hain
har ek jaanib hamare kuchon mein
haDDiyon se bane makanon ke baam-o-dar munhadim
fasilon pe durbinen liye
muqabil
gae shikaron se utre
majburiyon ke aajar
laim saudagaron ke Tole
hamare malbon ke bar-dane hawas ke baTon se tolte hain
hamari khaalon ka KHasta resham gadhon pe lade
amir KHitton mein bechte hain
malul basti mein uryan lashen
giri hai jin pe azab ohdon ki
bhaari sil
gae Thikanon pe ulluon ke udas maskan
kabutaron ke wo aalne hain ki jin mein sannaTe bolte hain
saudagaro aafiyat ke parcham khule
shikare palaT bhi aae
magar ye socho ki mauj dar mauj tangnaon mein
koh-paikar jawar-bhaTe
musafirat mein tamam ghaTe
zalil ghayal
gae musafir ki jin ke thailon mein zar bandha tha
tahon ki qabron mein ja chhupe hain
lahim whalon ne un ke jismon ko noch Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.