wapsi
narm ret par ma.asūm bachchoñ kī tarah dauḌte hue
us ne merī taraf dekhā
aur sharārat se muskurāyā
aatī jaatī lahroñ se aThkheliyāñ karte hue
us ne merā haath pakḌā
aur samundar meñ khīñch liyā
maiñ sharmā.ī
umr ne sah-pahar kā labāda utaar diyā
sanjīdgī paanī meñ utar kar
shoḳh ho ga.ī
us roz goa ke sāhil par
hamārī
merī aur mere ham-safar kī Dhaltī huī umr ne pīchhe muḌ kar dekhā
aur khilkhilātī huī ek baar phir javān ho ga.ī
narm ret par masum bachchon ki tarah dauDte hue
us ne meri taraf dekha
aur shararat se muskuraya
aati jati lahron se aThkheliyan karte hue
us ne mera hath pakDa
aur samundar mein khinch liya
main sharmai
umr ne sah-pahar ka labaada utar diya
sanjidgi pani mein utar kar
shoKH ho gai
us roz goa ke sahil par
hamari
meri aur mere ham-safar ki Dhalti hui umr ne pichhe muD kar dekha
aur khilkhilati hui ek bar phir jawan ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.